mujhe likhna tha sarshaari
mujhe likhna tha dildaari
mujhe likhna tha apna half-naama
aur bayaan-e-istighaasa
baadshaah-e-waqt ke maghroor aiwaan-e-adaalat mein
umdati khalk ki maujoodgi mein
waardaate-e-qatl-e-khubaan ke haqaaiq
aur bayaan-e-khalq-e-barham
main qaasid tha
ghulaamon ka farastaada
mere hone mein muzmar thi kharaabi
jumla imkaanaat-e-mohlik
ik bhari bandooq
main sha'ir tha
mujhe elaan karna tha
mere elaan par honi thi saf-bandi
hisaab-e-khoon-baha
bebaak hona tha
rabaab-e-zindagi par
aarzoo ka almeya gaana
all-alailaan
chauraahon pe
be-khud hona
gaana
raqs karna
aur mar jaana
mera mansab mukarrar tha
मुझे लिखना था सरशारी
मुझे लिखना था दिलदारी
मुझे लिखना था अपना हल्फ़-नामा
और बयान-ए-इस्तिग़ासा
बादशाह-ए-वक़्त के मग़रूर ऐवान-ए-अदालत में
उमडती ख़ल्क़ की मौजूदगी में
वारदात-ए-क़त्ल-ए-ख़ूबाँ के हक़ाएक़
और बयान-ए-ख़ल्क़-ए-बरहम
मैं क़ासिद था
ग़ुलामों का फ़रस्तादा
मिरे होने में मुज़्मर थी ख़राबी
जुमला इम्कानात-ए-मोहलिक
इक भरी बंदूक़
मैं शाइ'र था
मुझे एलान करना था
मिरे एलान पर होनी थी सफ़-बंदी
हिसाब-ए-ख़ूँ-बहा
बेबाक होना था
रबाब-ए-ज़ि़ंदगी पर
आरज़ू का अलमिया गाना
अलल-ऐलान
चौराहों पे
बे-ख़ुद होना
गाना
रक़्स करना
और मर जाना
मिरा मंसब मुक़र्रर था
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ekram Khawar
As you were reading Raqs Shayari Shayari