beesvi sadi ke aakhiri barson mein | बीसवीं सदी के आख़िरी बरसों में

  - Ekram Khawar

beesvi sadi ke aakhiri barson mein
ek gehraati hui shaam ko
jab parindon aur patton ka rang siyaah ho chuka tha
aur dukh ka rang har rang par ghalib tha
maa toot chuki thi
mahbooba rooth chuki thi
hafta-waar taateel ki faraaghat se mutmain
sarshaari ke ek lamhe ko be-qaraar
sha'ir
likhne baitha
gird-o-pesh ki duniya
nihaayat aahistagi se
khafif pardo se chhanti hui
ghaaeb ho gai
aur poori kaayenaat mahdood ho kar
mez ke raqbe mein simat aayi
sha'ir na-maaloom kitne zamaanon tak
mahboot baitha fazaa ki sargoshiyaan sunta raha
saayein saayein karti khaamoshi mein
mo'tabar alfaaz ki talaash-o-justujoo mein
ghaltan-w-pechaan
ki yak lakht raat ki shah-rag se
kai khoon ke favvaare chhoote
aur sisakti seedhiyon cheekhte darwaazon ke aahang pe
mez par padi kaanch se jhaankti
marks ki tasveeron par
ik-taara bajaate hue nepali bacche ki tasveer
aur paash ki nazmon par
musala-dhaar aansuon ki baarish hone lagi
aur baahar raat ki taarikee mein kutte bhaukne lage

naseebon jali baaki tilangan raat jaari thi

बीसवीं सदी के आख़िरी बरसों में
एक गहराती हुई शाम को
जब परिंदों और पत्तों का रंग सियाह हो चुका था
और दुख का रंग हर रंग पर ग़ालिब था
माँ टूट चुकी थी
महबूबा रूठ चुकी थी
हफ़्ता-वार तातील की फ़राग़त से मुतमइन
सरशारी के एक लम्हे को बे-क़रार
शाइ'र
लिखने बैठा
गिर्द-ओ-पेश की दुनिया
निहायत आहिस्तगी से
ख़फ़ीफ़ पर्दों से छनती हुई
ग़ाएब हो गई
और पूरी काएनात महदूद हो कर
मेज़ के रक़्बे में सिमट आई
शाइ'र ना-मालूम कितने ज़मानों तक
महबूत बैठा फ़ज़ा की सरगोशियाँ सुनता रहा
साएँ साएँ करती ख़ामोशी में
मो'तबर अल्फ़ाज़ की तलाश-ओ-जुस्तुजू में
ग़लताँ-व-पेचाँ
कि यक लख़्त रात की शह-रग से
कई ख़ून के फ़व्वारे छूटे
और सिसकती सीढ़ियों चीख़ते दरवाज़ों के आहंग पे
मेज़ पर पड़ी काँच से झाँकती
मार्क्स की तस्वीरों पर
इक-तारा बजाते हुए नेपाली बच्चे की तस्वीर
और पाश की नज़्मों पर
मूसला-धार आँसुओं की बारिश होने लगी
और बाहर रात की तारीकी में कुत्ते भौंकने लगे

नसीबों जली बाँकी तिलँगन रात जारी थी

  - Ekram Khawar

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ekram Khawar

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari