daaman tera mujh se chhoota milne ke haalaat nahin | दामन तेरा मुझ से छूटा मिलने के हालात नहीं

  - Elizabeth Kurian Mona

daaman tera mujh se chhoota milne ke haalaat nahin
lekin tujh ko bhool sakoon main aisi bhi to baat nahin

badle badle se lagte hain aaj ye tere tevar kyun
pehle jaise kyun ab tere pyaar ke vo jazbaat nahin

mere haath ki saari lakeeren uljhi uljhi laakh sahi
un mein mujh ko tu mil jaaye hogi meri maat nahin

tum se bichhde arsa beeta phir bhi aks hai aankhon mein
aaye na ho tum khwaabon mein jo aisi koi raat nahin

khush-qismat hain log vo jin ko pyaar ke badle pyaar mila
is duniya mein har insaan ko haasil ye sougaat nahin

jaate jaate gham ki daulat tum ne bhar di jholi mein
ab ye zeest ka sarmaaya hai ma'amooli khairaat nahin

dard-bhari hai yaad-e-maazi phir bhi bas jee lete hain
ham ne jaana har mandap mein aati hai baaraat nahin

chahe bahaar ka mausam ho ya vasl ka koi aalam ho
beet gaye jo phir se waapas aate vo lamhaat nahin

jab jab tum yaad aaye mona bhar aayein meri aankhen
aag lagaaye dil mein aansu ye koi barsaat nahin

दामन तेरा मुझ से छूटा मिलने के हालात नहीं
लेकिन तुझ को भूल सकूँ मैं ऐसी भी तो बात नहीं

बदले बदले से लगते हैं आज ये तेरे तेवर क्यूँ
पहले जैसे क्यूँ अब तेरे प्यार के वो जज़्बात नहीं

मेरे हाथ की सारी लकीरें उलझी उलझी लाख सही
उन में मुझ को तू मिल जाए होगी मेरी मात नहीं

तुम से बिछड़े अर्सा बीता फिर भी अक्स है आँखों में
आए न हो तुम ख़्वाबों में जो ऐसी कोई रात नहीं

ख़ुश-क़िस्मत हैं लोग वो जिन को प्यार के बदले प्यार मिला
इस दुनिया में हर इंसाँ को हासिल ये सौग़ात नहीं

जाते जाते ग़म की दौलत तुम ने भर दी झोली में
अब ये ज़ीस्त का सरमाया है मा'मूली ख़ैरात नहीं

दर्द-भरी है याद-ए-माज़ी फिर भी बस जी लेते हैं
हम ने जाना हर मंडप में आती है बारात नहीं

चाहे बहार का मौसम हो या वस्ल का कोई आलम हो
बीत गए जो फिर से वापस आते वो लम्हात नहीं

जब जब तुम याद आए 'मोना' भर आईं मेरी आँखें
आग लगाए दिल में आँसू ये कोई बरसात नहीं

  - Elizabeth Kurian Mona

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Elizabeth Kurian Mona

As you were reading Shayari by Elizabeth Kurian Mona

Similar Writers

our suggestion based on Elizabeth Kurian Mona

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari