jang | "जंग" - Om Shukla

jang

ek jang jo hamne shuroo ki ek roz maaji ki yaad mein
man ke biyaabaan ke kisi shajar ki daaliyon ke toot kar ragadne se sulagi hui chingaari se
kisi taapu par basaaye gaye shehron ki unchi balkaniyon se
muhabbat se bane pul ke toote hue mehraab par baithi titliyon se
puraani kitaab ke mude hue panne ke kone par likhi taariikhon se
un takleefon se jo teri kami ke baad mere seene par pahaad ban gayi hain
un sabhi saayo se jo kabhi the hi नही,लेकिन maine mehsoos kiya hai
un silvato se jo daalaan mein padi chaarpaai ke bistre par simti hui hain
un aankhon se jinme koi jheel नही,लेकिन bhari rahti hain
us chaai ki dukaan se jahaan par na jaane kitne mitti ke kapon ko hamne tumhaare hont samajh kar chooma hai
un sabhi ghazlon se jinko tumhe yaad kar ke likha hai
us balisht se jisko apne sirhaane rakhkar soye hain,रोये hain
un parindon se jinhen hamne saath me baithkar daane khilaaye hain
us gulaab se jiski pankhudiyon ki mahak tumhaare jism se aati rahi hai
aur shaam ko paune saath baje tumhaare shehar jaati us train se bhi

jang shaayad sab sahi kar दे,मुहब्बत ne to lagbhag nestanabood kar diya hai
hum tumhaari yaad ke hukke ko piyenge aur apne hothon se udaasi ka dhuaan foonkte rahenge

"जंग"

एक जंग जो हमने शुरू की एक रोज माजी की याद में
मन के बियाबान के किसी शजर की डालियों के टूट कर रगड़ने से सुलगी हुई चिंगारी से
किसी टापू पर बसाए गए शहरों की ऊँची बालकनियों से
मुहब्बत से बने पुल के टूटे हुए मेहराब पर बैठी तितलियों से
पुरानी किताब के मुड़े हुए पन्ने के कोने पर लिखी तारीखों से
उन तकलीफों से जो तेरी कमी के बाद मेरे सीने पर पहाड़ बन गयी हैं
उन सभी सायों से जो कभी थे ही नही,लेकिन मैंने महसूस किया है
उन सिलवटो से जो दालान में पड़ी चारपाई के बिस्तरे पर सिमटी हुई हैं
उन आँखो से जिनमे कोई झील नही,लेकिन भरी रहती हैं
उस चाय की दुकान से जहाँ पर न जाने कितने मिट्टी के कपों को हमने तुम्हारे होंठ समझ कर चूमा है
उन सभी गजलों से जिनको तुम्हे याद कर के लिखा है
उस बलिश्त से जिसको अपने सिरहाने रखकर सोए हैं,रोये हैं
उन परिंदों से जिन्हें हमने साथ मे बैठकर दाने खिलाये हैं
उस गुलाब से जिसकी पंखुड़ियों की महक तुम्हारे जिस्म से आती रही है
और शाम को पौने सात बजे तुम्हारे शहर जाती उस ट्रेन से भी

जंग शायद सब सही कर दे,मुहब्बत ने तो लगभग नेस्तनाबूद कर दिया है
हम तुम्हारी याद के हुक्के को पियेंगे और अपने होठों से उदासी का धुआं फूंकते रहेंगे

- Om Shukla
1 Like

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Shukla

As you were reading Shayari by Om Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Om Shukla

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari