mil ke ik baar use yaad nahin hone ke
dil ke ujde nagar aabaad nahin hone ke
ab naye zulm to ijaad nahin hone ke
sahiba ham koi fariyaad nahin hone ke
sacche ushshaq to napaaid hue duniya mein
ab koi sheerin-o-farhaad nahin hone ke
dil mein thaani hai bhula den tumhein dheere dheere
aur is ishq mein barbaad nahin hone ke
ek wa'de ne yun paa-basta kiya hai ham ko
ab kisi taur bhi azaad nahin hone ke
ham ne har haal mein jeene ki qasam khaai hai
ham kabhi zeest mein naashaad nahin hone ke
ek kam-zarf se kya zarf ki umeed karein
hain jo baune kabhi shamshaad nahin hone ke
मिल के इक बार उसे याद नहीं होने के
दिल के उजड़े नगर आबाद नहीं होने के
अब नए ज़ुल्म तो ईजाद नहीं होने के
साहिबा हम कोई फ़रियाद नहीं होने के
सच्चे उश्शाक़ तो नापैद हुए दुनिया में
अब कोई शीरीं-ओ-फ़रहाद नहीं होने के
दिल में ठानी है भुला दें तुम्हें धीरे धीरे
और इस इश्क़ में बर्बाद नहीं होने के
एक वा'दे ने यूँ पा-बस्ता किया है हम को
अब किसी तौर भी आज़ाद नहीं होने के
हम ने हर हाल में जीने की क़सम खाई है
हम कभी ज़ीस्त में नाशाद नहीं होने के
एक कम-ज़र्फ़ से क्या ज़र्फ़ की उमीद करें
हैं जो बौने कभी शमशाद नहीं होने के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fahmida Mosarrat Ahmad
our suggestion based on Fahmida Mosarrat Ahmad
As you were reading Duniya Shayari Shayari