kuchh roz chaahaton ka ajab silsila raha | कुछ रोज़ चाहतों का अजब सिलसिला रहा

  - Fahmida Mosarrat Ahmad

kuchh roz chaahaton ka ajab silsila raha
vo dhadkano mein pyaar ki soorat basa raha

ik shakhs jis ko dil se bhulaaya tha baar baar
ye dil ki phir bhi us ko sada sochta raha

jis ke junoon mein ham ne bita di tamaam umr
ye kya ki umr bhar hi vo ham se khafa raha

ye sach hai mujh se haath chhuda kar vo ja chuka
jaata use main door talak dekhta raha

tum us ki be-rukhi pe pareshaan ho kis liye
dil todna to us ka sada mashghala raha

chaahat mein apna zauq-e-safar bhi ajeeb tha
us se hi shauq-e-husn-e-'masarrat saja raha

कुछ रोज़ चाहतों का अजब सिलसिला रहा
वो धड़कनों में प्यार की सूरत बसा रहा

इक शख़्स जिस को दिल से भुलाया था बार बार
ये दिल कि फिर भी उस को सदा सोचता रहा

जिस के जुनूँ में हम ने बिता दी तमाम उम्र
ये क्या कि उम्र भर ही वो हम से ख़फ़ा रहा

ये सच है मुझ से हाथ छुड़ा कर वो जा चुका
जाता उसे मैं दूर तलक देखता रहा

तुम उस की बे-रुख़ी पे परेशाँ हो किस लिए
दिल तोड़ना तो उस का सदा मश्ग़ला रहा

चाहत में अपना ज़ौक़-ए-सफ़र भी अजीब था
उस से ही शौक़-ए-हुस्न-ए-'मसर्रत' सजा रहा

  - Fahmida Mosarrat Ahmad

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmida Mosarrat Ahmad

As you were reading Shayari by Fahmida Mosarrat Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Fahmida Mosarrat Ahmad

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari