guzri thi ek baar jo dil ki gali se main | गुज़री थी एक बार जो दिल की गली से मैं

  - Fahmida Mosarrat Ahmad

guzri thi ek baar jo dil ki gali se main
do-chaar aaj bhi hoon usi be-kali se main

be-zaar is qadar hoon gham-e-aashiqi se main
mujh se zara khafa hai khushi aur khushi se main

nikli hoon jab se dhoondhne be-laus chahten
dhoka hi kha rahi hoon badi saadgi se main

ma'doom us ki aankh se pehchaan ho gai
jaise ki mil rahi thi kisi ajnabi se main

jins-e-wafa jahaan mein naayaab kyun hui
ro ro ke poochhti rahi har aadmi se main

apni khushi se vaise basar to na kar saki
naaraz bhi nahin hoon magar zindagi se main

main ne bhi saaf lafzon mein gham se ye kah diya
peecha chhuda ke aayi hoon afsurdagi se main

may-khaana chal ke rind ka khud poochta hai haal
maanoos is tarah se hoon ab may-kashi se main

jaam-o-suboo nahin tiri aankhon se ab pila
ai saaqi mar na jaaun kahi tishnagi se main

गुज़री थी एक बार जो दिल की गली से मैं
दो-चार आज भी हूँ उसी बे-कली से मैं

बे-ज़ार इस क़दर हूँ ग़म-ए-आशिक़ी से मैं
मुझ से ज़रा ख़फ़ा है ख़ुशी और ख़ुशी से मैं

निकली हूँ जब से ढूँडने बे-लौस चाहतें
धोका ही खा रही हूँ बड़ी सादगी से मैं

मा'दूम उस की आँख से पहचान हो गई
जैसे कि मिल रही थी किसी अजनबी से मैं

जिंस-ए-वफ़ा जहान में नायाब क्यों हुई
रो रो के पूछती रही हर आदमी से मैं

अपनी ख़ुशी से वैसे बसर तो न कर सकी
नाराज़ भी नहीं हूँ मगर ज़िंदगी से मैं

मैं ने भी साफ़ लफ़्ज़ों में ग़म से ये कह दिया
पीछा छुड़ा के आई हूँ अफ़्सुर्दगी से मैं

मय-ख़ाना चल के रिंद का ख़ुद पूछता है हाल
मानूस इस तरह से हूँ अब मय-कशी से मैं

जाम-ओ-सुबू नहीं तिरी आँखों से अब पिला
ऐ साक़ी मर न जाऊँ कहीं तिश्नगी से मैं

  - Fahmida Mosarrat Ahmad

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmida Mosarrat Ahmad

As you were reading Shayari by Fahmida Mosarrat Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Fahmida Mosarrat Ahmad

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari