veeraan sa ab hoon jo main aisa to nahin tha | वीरान सा अब हूँ जो मैं ऐसा तो नहीं था

  - Fahmida Mosarrat Ahmad

veeraan sa ab hoon jo main aisa to nahin tha
hota tha samundar kabhi sehra to nahin tha

chehre pe raqam tha jo vo padh hi nahin paaya
sab jaanta tha itna bhi saada to nahin tha

aangan mein mere dil ke chali aayi thi kal shaam
thi yaad tumhaari koi jhonka to nahin tha

chup-chaap tasavvur mein chale aate kisi roz
sochon pe meri jaan koi pahra to nahin tha

ham dard ka afsaana sunaate use kyoon-kar
zaahir mein jo apna tha par apna to nahin tha

sab chal diye maujon ke hawaale use kar ke
maana ki bhanwar mein tha vo dooba to nahin tha

vo jis ko tha seene ka har ik zakham dikhaaya
baaton pe meri us ko bharosa to nahin tha

kar ke mujhe barbaad gaya hai vo sitamgar
gulshan yoonhi dil ka mere ujda to nahin tha

kyun rota hai ab hijr mein tere vo masarrat
jaate hue us ne tujhe roka to nahin tha

वीरान सा अब हूँ जो मैं ऐसा तो नहीं था
होता था समुंदर कभी सहरा तो नहीं था

चेहरे पे रक़म था जो वो पढ़ ही नहीं पाया
सब जानता था इतना भी सादा तो नहीं था

आँगन में मिरे दिल के चली आई थी कल शाम
थी याद तुम्हारी कोई झोंका तो नहीं था

चुप-चाप तसव्वुर में चले आते किसी रोज़
सोचों पे मेरी जाँ कोई पहरा तो नहीं था

हम दर्द का अफ़्साना सुनाते उसे क्यूँ-कर
ज़ाहिर में जो अपना था पर अपना तो नहीं था

सब चल दिए मौजों के हवाले उसे कर के
माना कि भँवर में था वो डूबा तो नहीं था

वो जिस को था सीने का हर इक ज़ख़्म दिखाया
बातों पे मिरी उस को भरोसा तो नहीं था

कर के मुझे बर्बाद गया है वो सितमगर
गुलशन यूँही दिल का मिरे उजड़ा तो नहीं था

क्यों रोता है अब हिज्र में तेरे वो 'मसर्रत'
जाते हुए उस ने तुझे रोका तो नहीं था

  - Fahmida Mosarrat Ahmad

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmida Mosarrat Ahmad

As you were reading Shayari by Fahmida Mosarrat Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Fahmida Mosarrat Ahmad

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari