ab so jaao | अब सो जाओ

  - Fahmida Riaz

ab so jaao
aur apne haath ko mere haath mein rahne do
tum chaand se maathe waale ho
aur achhi qismat rakhte ho
bacche ki sau bholi soorat
ab tak zid karne ki aadat
kuchh khoi khoi si baatein
kuchh seene mein chubhti yaadein
ab inhen bhula do so jaao
aur apne haath ko mere haath mein rahne do
so jaao tum shehzaade ho
aur kitne dheron pyaare ho
achha to koi aur bhi thi
achha phir baat kahaan nikli
kuchh aur bhi yaadein bachpan ki
kuchh apne ghar ke aangan ki
sab batla do phir so jaao
aur apne haath ko mere haath mein rahne do
ye thandi saans hawaon ki
ye jhilmil karti khaamoshi
ye dhalti raat sitaaron ki
beete na kabhi tum so jaao
aur apne haath ko mere haath mein rahne do

अब सो जाओ
और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो
तुम चाँद से माथे वाले हो
और अच्छी क़िस्मत रखते हो
बच्चे की सौ भोली सूरत
अब तक ज़िद करने की आदत
कुछ खोई खोई सी बातें
कुछ सीने में चुभती यादें
अब इन्हें भुला दो सो जाओ
और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो
सो जाओ तुम शहज़ादे हो
और कितने ढेरों प्यारे हो
अच्छा तो कोई और भी थी
अच्छा फिर बात कहाँ निकली
कुछ और भी यादें बचपन की
कुछ अपने घर के आँगन की
सब बतला दो फिर सो जाओ
और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो
ये ठंडी साँस हवाओं की
ये झिलमिल करती ख़ामोशी
ये ढलती रात सितारों की
बीते न कभी तुम सो जाओ
और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो

  - Fahmida Riaz

Aadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmida Riaz

As you were reading Shayari by Fahmida Riaz

Similar Writers

our suggestion based on Fahmida Riaz

Similar Moods

As you were reading Aadat Shayari Shayari