vo sheeshe ka bulb aur koi us ke andar | वो शीशे का बल्ब और कोई उस के अंदर

  - Faisal Azeem

vo sheeshe ka bulb aur koi us ke andar
bahut haanfta gol deewaron ko
jaldi jaldi khurchta
fisalta hai girta hai uthata hai fauran
musalsal khurchte hi jaata hai lekin
use dar hai sar par
latkata hua dhaati lachchaa kahi jal utha to
use bhun dega
magar itni vehshat mein us ko khabar kya
ki lachchaa salaamat
na ab barqi-rau us ke taaron mein baaki
deewarein khurchte khurchte use sheeshe ke qaid-khaane
mein be-jaan lachche se darna nahin hai
ab us bulb ke taar mein barqi-rau hi nahin hai

वो शीशे का बल्ब और कोई उस के अंदर
बहुत हाँफता गोल दीवारों को
जल्दी जल्दी खुरचता
फिसलता है गिरता है उठता है फ़ौरन
मुसलसल खुरचते ही जाता है लेकिन
उसे डर है सर पर
लटकता हुआ धाती लच्छा कहीं जल उठा तो
उसे भून देगा
मगर इतनी वहशत में उस को ख़बर क्या
कि लच्छा सलामत
न अब बर्क़ी-रौ उस के तारों में बाक़ी
दीवारें खुरचते खुरचते उसे शीशे के क़ैद-ख़ाने
में बे-जान लच्छे से डरना नहीं है
अब उस बल्ब के तार में बर्क़ी-रौ ही नहीं है

  - Faisal Azeem

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Azeem

As you were reading Shayari by Faisal Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Azeem

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari