pichhle baras tum saath the mere aur december tha | पिछले बरस तुम साथ थे मेरे और दिसम्बर था - Farah Shahid

pichhle baras tum saath the mere aur december tha
mahke hue din-raat the mere aur december tha

chaandni-raat thi sard hawa se khidki bajti thi
un haathon mein haath the mere aur december tha

baarish ki kyoon se dil pe dastak hoti thi
sab mausam barsaat the mere aur december tha

bheegi zulfen bheega aanchal neend thi aankhon mein
kuch aise haalaat the mere aur december tha

dheere dheere bhadak rahi thi aatish-daan ki aag
bahke hue jazbaat the mere aur december tha

pyaar bhari nazaron se farh jab us ne dekha tha
bas vo hi lamhaat the mere aur december tha

पिछले बरस तुम साथ थे मेरे और दिसम्बर था
महके हुए दिन-रात थे मेरे और दिसम्बर था

चाँदनी-रात थी सर्द हवा से खिड़की बजती थी
उन हाथों में हाथ थे मेरे और दिसम्बर था

बारिश की बूंदों से दिल पे दस्तक होती थी
सब मौसम बरसात थे मेरे और दिसम्बर था

भीगी ज़ुल्फ़ें भीगा आँचल नींद थी आँखों में
कुछ ऐसे हालात थे मेरे और दिसम्बर था

धीरे धीरे भड़क रही थी आतिश-दान की आग
बहके हुए जज़्बात थे मेरे और दिसम्बर था

प्यार भरी नज़रों से 'फ़रह' जब उस ने देखा था
बस वो ही लम्हात थे मेरे और दिसम्बर था

- Farah Shahid
7 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Farah Shahid

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari