dariya mein ye naav kis taraf hai | दरिया में ये नाव किस तरफ़ है

  - Gauhar Hoshiyarpuri

dariya mein ye naav kis taraf hai
paani ka bahaav kis taraf hai

ye raah kidhar ko mud rahi hai
logon ka lagaav kis taraf hai

manzil kahaan taakte hain raahi
takte hain padaav kis taraf hai

taaseer kahaan gai sukhun se
jazbon ka alaav kis taraf hai

awaaz kahi bula rahi hai
yaaron ka rizhaav kis taraf hai

tasveer dikha rahi hai kya kuchh
rangon ka rachaao kis taraf hai

khoye hue tum kahaan ho gauhar
dil ka ye khichaav kis taraf hai

दरिया में ये नाव किस तरफ़ है
पानी का बहाव किस तरफ़ है

ये राह किधर को मुड़ रही है
लोगों का लगाव किस तरफ़ है

मंज़िल कहाँ ताकते हैं राही
तकते हैं पड़ाव किस तरफ़ है

तासीर कहाँ गई सुख़न से
जज़्बों का अलाव किस तरफ़ है

आवाज़ कहीं बुला रही है
यारों का रिझाव किस तरफ़ है

तस्वीर दिखा रही है क्या कुछ
रंगों का रचाओ किस तरफ़ है

खोए हुए तुम कहाँ हो 'गौहर'
दिल का ये खिचाव किस तरफ़ है

  - Gauhar Hoshiyarpuri

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari