bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki khaamoshi
cheerati si jaati hai mujh ko ghar ki khaamoshi
subh ke ubharne se shaam ke utarne tak
kitni jaan-leva hai dopahar ki khaamoshi
chal rahi thi jab mere ghar ke jalne ki taftish
dekhne ke qaabil thi shehar bhar ki khaamoshi
kaat li hain tum ne to tahniyaan sabhi lekin
sun sako jo kahti hai chup shajar ki khaamoshi
tod bhi do chuppi ko roothne ko taj daalo
ho gai hai parbat si baat bhar ki khaamoshi
pad gai hai aadat ab saath tere chalne ki
bin tire kate kaise ye safar ki khaamoshi
बस गई है रग रग में बाम-ओ-दर की ख़ामोशी
चीरती सी जाती है मुझ को घर की ख़ामोशी
सुब्ह के उभरने से शाम के उतरने तक
कितनी जान-लेवा है दोपहर की ख़ामोशी
चल रही थी जब मेरे घर के जलने की तफ़तीश
देखने के क़ाबिल थी शहर भर की ख़ामोशी
काट ली हैं तुम ने तो टहनियाँ सभी लेकिन
सुन सको जो कहती है चुप शजर की ख़ामोशी
तोड़ भी दो चुप्पी को रूठने को तज डालो
हो गई है पर्बत सी बात भर की ख़ामोशी
पड़ गई है आदत अब साथ तेरे चलने की
बिन तिरे कटे कैसे ये सफ़र की ख़ामोशी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gautam Rajrishi
our suggestion based on Gautam Rajrishi
As you were reading Taj Mahal Shayari Shayari