hawa jab kisi ki kahaani kahe hai
naye mausamon ki zabaani kahe hai
fasana hai jismoon ka be-shak zameeni
magar rooh to aasmaani kahe hai
tujhe chal zara sa main meetha bana doon
samundar se dariya ka paani kahe hai
dasa rat-jagon ne hai khwaabon ko phir se
sulagti hui raat-raani kahe hai
laten chand chaandi ki bakhsheen tujhe ja
vidaa leti mujh se jawaani kahe hai
hai chadhne lagi phir se dhalti hui umr
tiri shirt ye zaafraani kahe hai
nayi baat ho ab naye geet chhedo
guzarti ghadi har puraani kahe hai
हवा जब किसी की कहानी कहे है
नए मौसमों की ज़बानी कहे है
फ़साना है जिस्मों का बे-शक ज़मीनी
मगर रूह तो आसमानी कहे है
तुझे चल ज़रा सा मैं मीठा बना दूँ
समुंदर से दरिया का पानी कहे है
डसा रत-जगों ने है ख़्वाबों को फिर से
सुलगती हुई रात-रानी कहे है
लटें चंद चाँदी की बख़्शीं तुझे जा
विदाअ' लेती मुझ से जवानी कहे है
है चढ़ने लगी फिर से ढलती हुई उम्र
तिरी शर्ट ये ज़ाफ़रानी कहे है
नई बात हो अब नए गीत छेड़ो
गुज़रती घड़ी हर पुरानी कहे है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gautam Rajrishi
our suggestion based on Gautam Rajrishi
As you were reading Pollution Shayari Shayari