hain jitni parten yahan aasmaan mein shaamil
sabhi hui meri had ki udaan mein shaamil
badha hai shehar mein rutba zara hamaara bhi
hue hain jaise ham un ke bayaan mein shaamil
uchaal yun hi nahin badh gai hai lehron ki
nadi ka zor bhi hai kuchh dhalaan mein shaamil
dhuaan ghubaar parinde tapish ghutan khushboo
hain bojh kitne hawa ki thakaan mein shaamil
theen qist jitni bhi khwaabon ki be-hisaab padi
kiya hai neend ne sab ko lagaan mein shaamil
suna hai naam se tere hain bikte afsaane
mujhe bhi kar le kabhi daastaan mein shaamil
zara si dosti ki ham se qaafiyon ne kiya
kiya ghazal ne hamein khaandaan mein shaamil
हैं जितनी परतें यहाँ आसमान में शामिल
सभी हुईं मिरी हद की उड़ान में शामिल
बढ़ा है शहर में रुत्बा ज़रा हमारा भी
हुए हैं जैसे हम उन के बयान में शामिल
उछाल यूँ ही नहीं बढ़ गई है लहरों की
नदी का ज़ोर भी है कुछ ढलान में शामिल
धुआँ ग़ुबार परिंदे तपिश घुटन ख़ुश्बू
हैं बोझ कितने हवा की थकान में शामिल
थीं क़िस्त जितनी भी ख़्वाबों की बे-हिसाब पड़ी
किया है नींद ने सब को लगान में शामिल
सुना है नाम से तेरे हैं बिकते अफ़्साने
मुझे भी कर ले कभी दास्तान में शामिल
ज़रा सी दोस्ती की हम से क़ाफ़ियों ने किया
किया ग़ज़ल ने हमें ख़ानदान में शामिल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gautam Rajrishi
our suggestion based on Gautam Rajrishi
As you were reading Shehar Shayari Shayari