dekh kar vehshat nigaahon ki zabaan bechain hai
phir sulagne ko koi ik dastaan bechain hai
kaali raaton ke saleeqe din ko kyun bhaane lage
soch kar gum-sum hai dharti aasmaan bechain hai
kaaghazon par ho gaye saare khulaase hi magar
kuchh to hai jo haashiyon ke darmiyaan bechain hai
jab se saazish mein samundar ki hawa shaamil hui
kashti hai chup-chaap si aur baadbaan bechain hai
bhed jab sargoshiyon ka khul ke aaya saamne
shor vo utha hai apna hukmraan bechain hai
hijr ke mausam ki kuchh mat poochiye uf dastaan
main yahan betaab hoon to vo wahan bechain hai
देख कर वहशत निगाहों की ज़बाँ बेचैन है
फिर सुलगने को कोई इक दास्ताँ बेचैन है
काली रातों के सलीक़े दिन को क्यूँ भाने लगे
सोच कर गुम-सुम है धरती आसमाँ बेचैन है
काग़ज़ों पर हो गए सारे ख़ुलासे ही मगर
कुछ तो है जो हाशियों के दरमियाँ बेचैन है
जब से साज़िश में समुंदर की हवा शामिल हुई
कश्ती है चुप-चाप सी और बादबाँ बेचैन है
भेद जब सरगोशियों का खुल के आया सामने
शोर वो उट्ठा है अपना हुक्मराँ बेचैन है
हिज्र के मौसम की कुछ मत पूछिए उफ़ दास्ताँ
मैं यहाँ बेताब हूँ तो वो वहाँ बेचैन है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gautam Rajrishi
our suggestion based on Gautam Rajrishi
As you were reading Mood off Shayari Shayari