zindagi mein aur koi to meri hasrat nahin | ज़िंदगी में और कोई तो मिरी हसरत नहीं

  - Geetanjali Geet

zindagi mein aur koi to meri hasrat nahin
waqt tera chahti hoon bas tiri furqat nahin

paak kya rahne diya hai is jahaan ne ab bata
jism se matlab ise hai rooh se raghbat nahin

raah mein patthar hazaaron vo karein to kya karein
rokna un ka karam rukna meri fitrat nahin

ik aziyyat mein sulagti ja rahi hoon dar-b-dar
aur mujhe is aag ki takleef se raahat nahin

baat sunte bhi nahin tum uf samjhte bhi nahin
mujh ko paane ki tumhaari zid hai ye ulfat nahin

jo karein nafrat bhari baatein ana-labreiz hon
kar mua'af ai zindagi aisi meri sohbat nahin

sooi ka ye kaam talwaaron se kyun lete ho tum
zakham seena zakham bharna in ki ye qudrat nahin

ज़िंदगी में और कोई तो मिरी हसरत नहीं
वक़्त तेरा चाहती हूँ बस तिरी फ़ुर्सत नहीं

पाक क्या रहने दिया है इस जहाँ ने अब बता
जिस्म से मतलब इसे है रूह से रग़बत नहीं

राह में पत्थर हज़ारों वो करें तो क्या करें
रोकना उन का करम रुकना मिरी फ़ितरत नहीं

इक अज़िय्यत में सुलगती जा रही हूँ दर-ब-दर
और मुझे इस आग की तकलीफ़ से राहत नहीं

बात सुनते भी नहीं तुम उफ़ समझते भी नहीं
मुझ को पाने की तुम्हारी ज़िद है ये उल्फ़त नहीं

जो करें नफ़रत भरी बातें अना-लबरेज़ हों
कर मुआ'फ़ ऐ ज़िंदगी ऐसी मिरी सोहबत नहीं

सूई का ये काम तलवारों से क्यूँ लेते हो तुम
ज़ख़्म सीना ज़ख़्म भरना इन की ये क़ुदरत नहीं

  - Geetanjali Geet

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Geetanjali Geet

As you were reading Shayari by Geetanjali Geet

Similar Writers

our suggestion based on Geetanjali Geet

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari