tumhaara rang rang-e-aasmaan jaisa badalta hai | तुम्हारा रंग रंग-ए-आसमाँ जैसा बदलता है

  - Ghayas Mateen

tumhaara rang rang-e-aasmaan jaisa badalta hai
kisi ko chaahne waala kahi itna badalta hai

saba shabnam shafaq rukhsaar gul mahtaab in sab ka
tumhaara naam leta hoon to kyun chehra badalta hai

saba guftaar sheerin lab sitaara chashm hain to kya
badalte ham bhi hain jab saamne waala badalta hai

kabhi jaati nahin jungle ki boo sandal ke paikar se
ki soorat ke badlne se kahi rishta badalta hai

ye shehr-e-be-sadaa andar se shehr-e-aarzoo nikla
dhuaan har-dam yahan bujhte charaagon ka badalta hai

utarte waqt paani mein zara ye dekh lena tha
ki andar beech mein ja kar yahi dariya badalta hai

raho deewaar ke saaye mein lekin dekhte rahna
hamesha rukh yahan deewaar ka saaya badalta hai

sukhun rasta lakeeron se nahin lafzon se raushan hai
lakeeren peetne se bhi kabhi rasta badalta hai

mateen aao chalen kheme ki jaanib ik zara so len
vo dekho subh ka taara libaas apna badalta hai

तुम्हारा रंग रंग-ए-आसमाँ जैसा बदलता है
किसी को चाहने वाला कहीं इतना बदलता है

सबा शबनम शफ़क़ रुख़्सार गुल महताब इन सब का
तुम्हारा नाम लेता हूँ तो क्यूँ चेहरा बदलता है

सबा गुफ़्तार शीरीं लब सितारा चश्म हैं तो क्या
बदलते हम भी हैं जब सामने वाला बदलता है

कभी जाती नहीं जंगल की बू संदल के पैकर से
कि सूरत के बदलने से कहीं रिश्ता बदलता है

ये शहर-ए-बे-सदा अंदर से शहर-ए-आरज़ू निकला
धुआँ हर-दम यहाँ बुझते चराग़ों का बदलता है

उतरते वक़्त पानी में ज़रा ये देख लेना था
कि अंदर बीच में जा कर यही दरिया बदलता है

रहो दीवार के साए में लेकिन देखते रहना
हमेशा रुख़ यहाँ दीवार का साया बदलता है

सुख़न रस्ता लकीरों से नहीं लफ़्ज़ों से रौशन है
लकीरें पीटने से भी कभी रस्ता बदलता है

'मतीन' आओ चलें खे़मे की जानिब इक ज़रा सो लें
वो देखो सुब्ह का तारा लिबास अपना बदलता है

  - Ghayas Mateen

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghayas Mateen

As you were reading Shayari by Ghayas Mateen

Similar Writers

our suggestion based on Ghayas Mateen

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari