aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda ugaa | आँख की पुतली में सूरज सर में कुछ सौदा उगा

  - Ghayas Mateen

aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda ugaa
paaniyon mein surkh paude dhoop mein saaya ugaa

aasmaan ki bheed mein to is liye socha gaya
is zameen ki chaatiyon se noor ka chashma ugaa

neend mein chalne ki aadat khwaab mein likhne ka fan
ek jaisi baat hai to aatish-e-naghma ugaa

main ne apni dono aankhon mein ugaae hain pahaad
teri aankhon mein samundar tha wahan sehra ugaa

sabza-e-begaana ban kar jee liya to kya jiya
khud ko bo kar is zameen se ik naya chehra ugaa

dhoop jaise qahqahe hain ret jaisi baat hai
tu agar ghavvaas hai to ret mein dariya ugaa

ye zameen boodhi hai us ko peeth se apni utaar
aasmaan ko jeb mein rakh le nayi duniya ka ugaa

ham to khud izhaar hain apne zamaane ka mateen
bujh gaye awaaz ke sholay naya lahja ugaa

आँख की पुतली में सूरज सर में कुछ सौदा उगा
पानियों में सुर्ख़ पौदे धूप में साया उगा

आसमाँ की भीड़ में तो इस लिए सोचा गया
इस ज़मीं की छातियों से नूर का चश्मा उगा

नींद में चलने की आदत ख़्वाब में लिखने का फ़न
एक जैसी बात है तो आतिश-ए-नग़्मा उगा

मैं ने अपनी दोनों आँखों में उगाए हैं पहाड़
तेरी आँखों में समुंदर था वहाँ सहरा उगा

सब्ज़ा-ए-बेगाना बन कर जी लिया तो क्या जिया
ख़ुद को बो कर इस ज़मीं से इक नया चेहरा उगा

धूप जैसे क़हक़हे हैं रेत जैसी बात है
तू अगर ग़व्वास है तो रेत में दरिया उगा

ये ज़मीं बूढ़ी है उस को पीठ से अपनी उतार
आसमाँ को जेब में रख ले नई दुनिया का उगा

हम तो ख़ुद इज़हार हैं अपने ज़माने का 'मतीन'
बुझ गए आवाज़ के शो'ले नया लहजा उगा

  - Ghayas Mateen

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghayas Mateen

As you were reading Shayari by Ghayas Mateen

Similar Writers

our suggestion based on Ghayas Mateen

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari