dhoop ka ehsaas jaane kyun use hota nahin | धूप का एहसास जाने क्यूँ उसे होता नहीं

  - Ghayas Mateen

dhoop ka ehsaas jaane kyun use hota nahin
waqt aawaara hai thandi chaanv mein hota nahin

jhooth ki deewaar se latke hue jismoon ke din
ho gaye poore ki sach to shab mein bhi sota nahin

ham taka karte hain khidki se utarte chaand ko
daud kar us ko pakad len ye kabhi hota nahin

dil ajab patthar hai paani se pighal jaaye kahi
aur kabhi jo aag mein rakh deejie rota nahin

raushni phoote qalam ke aankh se kyun kar mateen
aansuon ke beej dil mein jab koi bota nahin

धूप का एहसास जाने क्यूँ उसे होता नहीं
वक़्त आवारा है ठंडी छाँव में होता नहीं

झूट की दीवार से लटके हुए जिस्मों के दिन
हो गए पूरे कि सच तो शब में भी सोता नहीं

हम तका करते हैं खिड़की से उतरते चाँद को
दौड़ कर उस को पकड़ लें ये कभी होता नहीं

दिल अजब पत्थर है पानी से पिघल जाए कहीं
और कभी जो आग में रख दीजिए रोता नहीं

रौशनी फूटे क़लम के आँख से क्यूँ कर 'मतीन'
आँसुओं के बीज दिल में जब कोई बोता नहीं

  - Ghayas Mateen

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghayas Mateen

As you were reading Shayari by Ghayas Mateen

Similar Writers

our suggestion based on Ghayas Mateen

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari