zameen ke saath falak ke safar mein ham bhi hain | ज़मीं के साथ फ़लक के सफ़र में हम भी हैं

  - Ghayas Mateen

zameen ke saath falak ke safar mein ham bhi hain
qafas-naseeb sahi baal-o-par mein ham bhi hain

wahin se loot gai raaston ki tanhaai
jahaan pe us ne ye jaana safar mein ham bhi hain

to vo shajar jo sada barg-o-baar deta hai
misaal-e-aab-e-nihaan is shajar mein ham bhi hain

jise kahi se samundar ne la ke fenk diya
tumhaare saath ik aise hi ghar mein ham bhi hain

kitaab the to parhe ja sake na duniya se
lo ab charaagh hue raahguzaar mein ham bhi hain

khayal aag hai shola hai fikr lau alfaaz
ye sab hunar hain to phir is hunar mein ham bhi hain

mateen shehar bhi sahra-nazaad hai itna
ki sang-o-khisht mein deewar-o-dar mein ham bhi hain

ज़मीं के साथ फ़लक के सफ़र में हम भी हैं
क़फ़स-नसीब सही बाल-ओ-पर में हम भी हैं

वहीं से लूट गई रास्तों की तन्हाई
जहाँ पे उस ने ये जाना सफ़र में हम भी हैं

तो वो शजर जो सदा बर्ग-ओ-बार देता है
मिसाल-ए-आब-ए-निहाँ इस शजर में हम भी हैं

जिसे कहीं से समुंदर ने ला के फेंक दिया
तुम्हारे साथ इक ऐसे ही घर में हम भी हैं

किताब थे तो पढ़े जा सके न दुनिया से
लो अब चराग़ हुए रहगुज़र में हम भी हैं

ख़याल आग है शो'ला है फ़िक्र लौ अल्फ़ाज़
ये सब हुनर हैं तो फिर इस हुनर में हम भी हैं

'मतीन' शहर भी सहरा-नज़ाद है इतना
कि संग-ओ-ख़िश्त में दीवार-ओ-दर में हम भी हैं

  - Ghayas Mateen

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghayas Mateen

As you were reading Shayari by Ghayas Mateen

Similar Writers

our suggestion based on Ghayas Mateen

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari