kisi ke narm takhaatub pe yun laga mujh ko | किसी के नर्म तख़ातुब पे यूँ लगा मुझ को - Ghazanfar

kisi ke narm takhaatub pe yun laga mujh ko
ki jaise saare masaail ka hal mila mujh ko

kisi maqaam pe vo bhi bichhad gai mujh se
nigaah-e-shauq jo deti thi hausla mujh ko

ki hum-safar ko samajhne laga khizr apna
zaruraton ne kuchh aisa safar diya mujh ko

tamaam log hi dushman dikhaai dete hain
koi bataaye ki aakhir ye kya hua mujh ko

main teri car ka ukhadta hua koi purza
sukoon talab hai to meri jagah pe la mujh ko

mera vujood bhi qaqnus se kam nahin hai miyaan
yaqeen na aaye to poori tarah jala mujh ko

main aisa narm tabeeyat kabhi na tha pehle
zaroor lams koi us ka choo gaya mujh ko

main chaah kar bhi tujhe qatl kar na paaoonga
ye kis ka de diya tu ne bhi vaasta mujh ko

किसी के नर्म तख़ातुब पे यूँ लगा मुझ को
कि जैसे सारे मसाइल का हल मिला मुझ को

किसी मक़ाम पे वो भी बिछड़ गई मुझ से
निगाह-ए-शौक़ जो देती थी हौसला मुझ को

कि हम-सफ़र को समझने लगा ख़िज़र अपना
ज़रूरतों ने कुछ ऐसा सफ़र दिया मुझ को

तमाम लोग ही दुश्मन दिखाई देते हैं
कोई बताए कि आख़िर ये क्या हुआ मुझ को

मैं तेरी कार का उखड़ा हुआ कोई पुर्ज़ा
सुकूँ तलब है तो मेरी जगह पे ला मुझ को

मिरा वजूद भी क़क़नुस से कम नहीं है मियाँ
यक़ीं न आए तो पूरी तरह जला मुझ को

मैं ऐसा नर्म तबीअत कभी न था पहले
ज़रूर लम्स कोई उस का छू गया मुझ को

मैं चाह कर भी तुझे क़त्ल कर न पाऊँगा
ये किस का दे दिया तू ने भी वास्ता मुझ को

- Ghazanfar
0 Likes

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari