dard ki kaun si manzil se guzarte honge | दर्द की कौन सी मंज़िल से गुज़रते होंगे - Ghazanfar

dard ki kaun si manzil se guzarte honge
khwaab ke paanv zameenon pe utarte honge

ham ki marboot hue aur shikasta ho kar
toot kar kaise bhala log bikharte honge

ham ki saahil ke tasavvur se sahm jaate hain
log kis tarah samundar mein utarte honge

jaane kya sochti hongi vo andheri raatein
chaand jab un ki nigaahon mein ubharte honge

tum jhulaste ho chataanon pe magar jaane do
kitne hi log makaanon mein sanvarte honge

दर्द की कौन सी मंज़िल से गुज़रते होंगे
ख़्वाब के पाँव ज़मीनों पे उतरते होंगे

हम कि मरबूत हुए और शिकस्ता हो कर
टूट कर कैसे भला लोग बिखरते होंगे

हम कि साहिल के तसव्वुर से सहम जाते हैं
लोग किस तरह समुंदर में उतरते होंगे

जाने क्या सोचती होंगी वो अँधेरी रातें
चाँद जब उन की निगाहों में उभरते होंगे

तुम झुलसते हो चटानों पे मगर जाने दो
कितने ही लोग मकानों में सँवरते होंगे

- Ghazanfar
0 Likes

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari