ye tamannaa nahin ki mar jaayen
zinda rahne magar kidhar jaayen
aisi dahshat ki apne saayo ko
log dushman samajh ke dar jaayen
vo jo pooche to dil ko dhaaras ho
vo jo dekhe to zakham bhar jaayen
bach ke duniya se ghar chale aaye
ghar se bachne magar kidhar jaayen
ik khwaahish hai jism se mere
jald se jald baal-o-par jaayen
ab ke lamba bahut safar in ka
in parindon ke par katar jaayen
sochte hi rahenge ham shaayad
vo balaaen to un ke ghar jaayen
ये तमन्ना नहीं कि मर जाएँ
ज़िंदा रहने मगर किधर जाएँ
ऐसी दहशत कि अपने सायों को
लोग दुश्मन समझ के डर जाएँ
वो जो पूछे तो दिल को ढारस हो
वो जो देखे तो ज़ख़्म भर जाएँ
बच के दुनिया से घर चले आए
घर से बचने मगर किधर जाएँ
इक ख़्वाहिश है जिस्म से मेरे
जल्द से जल्द बाल-ओ-पर जाएँ
अब के लम्बा बहुत सफ़र इन का
इन परिंदों के पर कतर जाएँ
सोचते ही रहेंगे हम शायद
वो बलाएँ तो उन के घर जाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazanfar
our suggestion based on Ghazanfar
As you were reading Intiqam Shayari Shayari