khala ke dasht se ab rishta apna qat'a karoon | ख़ला के दश्त से अब रिश्ता अपना क़त्अ करूँ

  - Ghazanfar

khala ke dasht se ab rishta apna qat'a karoon
safar taveel hai behtar hai ghar ko laut chaloon

buland hota hai jab jab bhi shor naalon ka
khayal aata hai dil mein ki main bhi cheekh padhoon

tumhaare hote hue log kyun bhatkte hain
kahi pe khizr nazar aaye to sawaal karoon

maal jo bhi ho jis tarah bhi kate ye umr
tumhaare naaz uthaaun tumhaare ranj sahoon

adhuri an-kahi be-rabt daastaan-e-hayaat
lahu se likh nahin saka to aansuon se likhoon

ख़ला के दश्त से अब रिश्ता अपना क़त्अ करूँ
सफ़र तवील है बेहतर है घर को लौट चलूँ

बुलंद होता है जब जब भी शोर नालों का
ख़याल आता है दिल में कि मैं भी चीख़ पड़ूँ

तुम्हारे होते हुए लोग क्यूँ भटकते हैं
कहीं पे ख़िज़्र नज़र आए तो सवाल करूँ

मआल जो भी हो जिस तरह भी कटे ये उम्र
तुम्हारे नाज़ उठाऊँ तुम्हारे रंज सहूँ

अधूरी अन-कही बे-रब्त दास्तान-ए-हयात
लहू से लिख नहीं सकता तो आँसुओं से लिखूँ

  - Ghazanfar

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari