tez hoti ja rahi hai kis liye dhadkan meri | तेज़ होती जा रही है किस लिए धड़कन मिरी

  - Ghazanfar

tez hoti ja rahi hai kis liye dhadkan meri
ho rahi hai rafta rafta aankh bhi raushan meri

zehan ke khaanon mein jaane waqt ne kya bhar diya
be-sabab hone lagi ik ek se an-ban meri

jaise jaise gutthiyon ki dor haath aati gai
kuchh isee raftaar se badhti gai uljhan meri

aisa lagta hai ki meri saans phir ghut jaayegi
phir ana ki nok par uthne lagi gardan meri

kya koi saaya tulu hone laga hai phir idhar
phir se kyun hone lagi hai doodhiya chilman meri

तेज़ होती जा रही है किस लिए धड़कन मिरी
हो रही है रफ़्ता रफ़्ता आँख भी रौशन मिरी

ज़ेहन के ख़ानों में जाने वक़्त ने क्या भर दिया
बे-सबब होने लगी इक एक से अन-बन मिरी

जैसे जैसे गुत्थियों की डोर हाथ आती गई
कुछ इसी रफ़्तार से बढ़ती गई उलझन मिरी

ऐसा लगता है कि मेरी साँस फिर घुट जाएगी
फिर अना की नोक पर उठने लगी गर्दन मिरी

क्या कोई साया तुलू होने लगा है फिर इधर
फिर से क्यूँ होने लगी है दूधिया चिलमन मिरी

  - Ghazanfar

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari