yaqeen jaaniye is mein koi karaamat hai | यक़ीन जानिए इस में कोई करामत है

  - Ghazanfar

yaqeen jaaniye is mein koi karaamat hai
jo is dhuen mein meri saans bhi salaamat hai

nazar bhi haal mere dil ka kah nahin paati
zabaan ki tarah meri aankh mein bhi luknat hai

jo ho raha hai use dekhte raho chup chaap
yahi sukoon se jeene ki ek soorat hai

main us ke jhooth ko bhi sach samajh ke sunta hoon
ki us ke jhooth mein bhi zindagi ki quwwat hai

ye kis ki aankh tiki hai udaas manzar par
ye kaun hai ki jise dekhne ki furqat hai

koi baeed nahin ye bhi ishtehaar chhape
hamaare shehar mein jallaad ki zaroorat hai

sipar tamaam badan ke hawas daal chuke
bas ek aankh hai jis mein abhi bagaavat hai

dil-o-dimaagh mein rishta nahin jahaan koi
ik aise jism mein jeena hamaari qismat hai

kahi bhi jaayen sazaayein hamein hi milni hain
adaalaton ki hamaari ajeeb hikmat hai

hamaare beech ye uqda na khul saka ab tak
kise visaal kise hijr ki zaroorat hai

usi ko saunp diya ham ne munsifi ki zamaam
ki jis ke khwaab mein bhi aks-e-ghaasbiyyat hai

यक़ीन जानिए इस में कोई करामत है
जो इस धुएँ में मिरी साँस भी सलामत है

नज़र भी हाल मिरे दिल का कह नहीं पाती
ज़बाँ की तरह मिरी आँख में भी लुक्नत है

जो हो रहा है उसे देखते रहो चुप चाप
यही सुकून से जीने की एक सूरत है

मैं उस के झूट को भी सच समझ के सुनता हूँ
कि उस के झूट में भी ज़िंदगी की क़ुव्वत है

ये किस की आँख टिकी है उदास मंज़र पर
ये कौन है कि जिसे देखने की फ़ुर्सत है

कोई बईद नहीं ये भी इश्तिहार छपे
हमारे शहर में जल्लाद की ज़रूरत है

सिपर तमाम बदन के हवास डाल चुके
बस एक आँख है जिस में अभी बग़ावत है

दिल-ओ-दिमाग़ में रिश्ता नहीं जहाँ कोई
इक ऐसे जिस्म में जीना हमारी क़िस्मत है

कहीं भी जाएँ सज़ाएँ हमें ही मिलनी हैं
अदालतों की हमारी अजीब हिकमत है

हमारे बीच ये उक़्दा न खुल सका अब तक
किसे विसाल किसे हिज्र की ज़रूरत है

उसी को सौंप दिया हम ने मुंसिफ़ी की ज़माम
कि जिस के ख़्वाब में भी अक्स-ए-ग़ासबिय्यत है

  - Ghazanfar

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari