kabhi to moond len aankhe kabhi nazar khole
kisi tarah se koi raushni ka dar khole
hawaaein sard hain oopar se tez baarish hai
parind kaise bhala apne baal-o-par khole
hamaare saamne ab aisa waqt aa pahuncha
ki ham dimaagh ko baandhen dil-o-jigar khole
bajaae aab ho shoraab se numoo jin ki
vo ped kaise badhein kaise barg-o-bar khole
yaqeen kaise dilaayein wafa-shi'aari ka
dilon ko chaak karein ya ki ham jigar khole
nahin hai kuchh bhi magar dil ye chahta hai bahut
ki ek roz zara chal ke apna ghar khole
har ek samt hai deewaar sar uthaaye hue
koi bataaye ki ham khidkiyaan kidhar khole
har ek aankh ki putli hai motiya ki shikaar
kise kamaal dikhaayein kahaan hunar khole
कभी तो मूँद लें आँखे कभी नज़र खोलें
किसी तरह से कोई रौशनी का दर खोलें
हवाएँ सर्द हैं ऊपर से तेज़ बारिश है
परिंद कैसे भला अपने बाल-ओ-पर खोलें
हमारे सामने अब ऐसा वक़्त आ पहुँचा
कि हम दिमाग़ को बाँधें दिल-ओ-जिगर खोलें
बजाए आब हो शोराब से नुमू जिन की
वो पेड़ कैसे बढ़ें कैसे बर्ग-ओ-बर खोलें
यक़ीन कैसे दिलाएँ वफ़ा-शिआ'री का
दिलों को चाक करें या कि हम जिगर खोलें
नहीं है कुछ भी मगर दिल ये चाहता है बहुत
कि एक रोज़ ज़रा चल के अपना घर खोलें
हर एक सम्त है दीवार सर उठाए हुए
कोई बताए कि हम खिड़कियाँ किधर खोलें
हर एक आँख की पुतली है मोतिया की शिकार
किसे कमाल दिखाएँ कहाँ हुनर खोलें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazanfar
our suggestion based on Ghazanfar
As you were reading Ghar Shayari Shayari