rafta rafta aankhon ko hairaani de kar jaayega | रफ़्ता रफ़्ता आँखों को हैरानी दे कर जाएगा

  - Ghazanfar

rafta rafta aankhon ko hairaani de kar jaayega
khwaabon ka ye shauq hamein veeraani de kar jaayega

dekh ke sar par gahra baadal khushk nigaahen kahti hain
aaj hamein ye abr yaqeenan paani de kar jaayega

kuchh thehraav to be-shak us se mere ghar mein aaya hai
lekin ik din mujh ko vo tughyaani de kar jaayega

aayega to ik do pal mehmaan rahega aankhon mein
jaayega to ik qissa toolani de kar jaayega

kaaghaz ke ye phool bhi apne chehron ko faq paayenge
ab ke mausam in ko bhi hairaani de kar jaayega

khush-manzar pe aankh jamaaye baithe hain ki lagta hai
rang koi be-rang nazar ko dhaani de kar jaayega

रफ़्ता रफ़्ता आँखों को हैरानी दे कर जाएगा
ख़्वाबों का ये शौक़ हमें वीरानी दे कर जाएगा

देख के सर पर गहरा बादल ख़ुश्क निगाहें कहती हैं
आज हमें ये अब्र यक़ीनन पानी दे कर जाएगा

कुछ ठहराव तो बे-शक उस से मेरे घर में आया है
लेकिन इक दिन मुझ को वो तुग़्यानी दे कर जाएगा

आएगा तो इक दो पल मेहमान रहेगा आँखों में
जाएगा तो इक क़िस्सा तूलानी दे कर जाएगा

काग़ज़ के ये फूल भी अपने चेहरों को फ़क़ पाएँगे
अब के मौसम इन को भी हैरानी दे कर जाएगा

खुश-मंज़र पे आँख जमाए बैठे हैं कि लगता है
रंग कोई बे-रंग नज़र को धानी दे कर जाएगा

  - Ghazanfar

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari