taarikee mein noor ka manzar suraj mein shab dekhoge | तारीकी में नूर का मंज़र सूरज में शब देखोगे - Ghazanfar

taarikee mein noor ka manzar suraj mein shab dekhoge
jis din tum aankhen khologe duniya ko jab dekhoge

dheere dheere har jaanib sannaata sa chha jaayega
so jaayengi rafta rafta aawaazen sab dekhoge

khambhe saare toot chuke hain chappar girne waala hai
buniyaadon par jeene waalo oopar tum kab dekhoge

shaayad tum bhi mere jaise ho jaaoge aankhon se
sahme chehre gung zabaanen zard badan jab dekhoge

vo to baazigaar hain un ka maqsad khel dikhaana hai
tum to farzaane ho saahib kab tak kartab dekhoge

pehle to sarsabz rahoge phir peele pad jaaoge
jis din tum bhi rang-nagar mein surkh koi lab dekhoge

baithe baithe ghar mein yun hi pal pal ghut ghut marna hai
ya nikloge ghar aangan se jeene ka dhab dekhoge

kal tak jo shaffaaf the chehre aawazon se khaali the
aadhi-tirchi surkh lakeeren un par bhi ab dekhoge

khambhe to ye gaar chuke hain rassi bhi ab taanenge
ye bhi khel hi khulenge in ke bhi kartab dekhoge

तारीकी में नूर का मंज़र सूरज में शब देखोगे
जिस दिन तुम आँखें खोलोगे दुनिया को जब देखोगे

धीरे धीरे हर जानिब सन्नाटा सा छा जाएगा
सो जाएँगी रफ़्ता रफ़्ता आवाज़ें सब देखोगे

खम्बे सारे टूट चुके हैं छप्पर गिरने वाला है
बुनियादों पर जीने वालो ऊपर तुम कब देखोगे

शायद तुम भी मेरे जैसे हो जाओगे आँखों से
सहमे चेहरे गुंग ज़बानें ज़र्द बदन जब देखोगे

वो तो बाज़ीगर हैं उन का मक़्सद खेल दिखाना है
तुम तो फ़रज़ाने हो साहिब कब तक कर्तब देखोगे

पहले तो सरसब्ज़ रहोगे फिर पीले पड़ जाओगे
जिस दिन तुम भी रंग-नगर में सुर्ख़ कोई लब देखोगे

बैठे बैठे घर में यूँ ही पल पल घुट घुट मरना है
या निकलोगे घर आँगन से जीने का ढब देखोगे

कल तक जो शफ़्फ़ाफ़ थे चेहरे आवाज़ों से ख़ाली थे
आड़ी-तिरछी सुर्ख़ लकीरें उन पर भी अब देखोगे

खम्बे तो ये गाड़ चुके हैं रस्सी भी अब तानेंगे
ये भी खेल ही खुलेंगे इन के भी कर्तब देखोगे

- Ghazanfar
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari