suno chunnoo munnu mere paas aao | सुनो चुन्नू मुन्नू मिरे पास आओ - Ghazanfar

suno chunnoo munnu mere paas aao
shakeela. jameela ko bhi saath laao
ye dekho mere paas kya aa gai hai
ye chhoti si dibiyaa bade kaam ki hai
ye dibiyaa nahin mantron ki chhadi hai
suno is mein jaadu ki puriya padi hai
ise jab ghumaav to duniya ghumaaye
ye ghar baithe baithe siyaahat karaaye
ise khatkhatao to ghunghat uthaaye
hamein chaand si apni soorat dikhaaye
ise jab dabao to ye gungunaaye
anokhe niraale dhunon ko sunaaye
bina kuchh dabaye bhi ye bolti hai
bina kuchh hilaaye bhi to dolti hai
zaroorat ho jis ki ise ye bula de
bula kar use ham se baatein kara de
hamein apne bichadon se ham ko mila de
hamaare dilon mein mohabbat jaga de
ye chahe to jis se bhi jis ko mila de
kisi ko kisi se bhi chahe bhida de
kabhi ajnabi ko bhi saathi bana de
kabhi dost ko bhi ye dushman bana de
kabhi jo sharaarat ye karne pe aaye
to chahe jise raat din ye sataaye
tilismi fazaayein bhi is mein chhupi hain
hazaaron balaaen bhi is mein dabii hain
kabhi to ye duniya ka naqsha ubhaare
kabhi aasmaan ko zameen par utaare
kahaan kya hua saara qissa sunaaye
yahan ka wahan ka tamasha dikhaaye
ye mashriq ko maghrib se pal mein milaaye
bas ik aan mein dooriyon ko mitaaye
ye photo bhi to baithe baithe utaare
hamaare bhi chehre ka naqsha ubhaare
ye dekho tumhaara bhi photo khincha hai
tumhaare bhi chehron ka naqsha bana hai
nahin waqt ka sirf chakkar chalaae
ye dibiyaa to taarikh din bhi bataaye
alarm bhi to raat mein ye bajaae
hamein waqt par ghaflaton se jagaae
mere dil mein kya hai ise ye khabar hai
mere dil ke andar bhi is ki nazar hai
ilh-deen ka ye diya to nahin hai
ki is mein bhi to koi jin sa basa hai
ki jab bhi bulao to dekho khada hai
jo shay chahiye is se haazir kiya hai
chhadi ki jhadi dekh bacche ye bole
bahut der ke baad munh apna khole
ye dibiyaa to sach-much bade kaam ki hai
hamein bhi batao kahaan se mili hai
batao ki is ka koi naam bhi hai
free mein mili hai ya kuchh daam bhi hai

सुनो चुन्नू मुन्नू मिरे पास आओ
शकीला जमीला को भी साथ लाओ
ये देखो मिरे पास क्या आ गई है
ये छोटी सी डिबिया बड़े काम की है
ये डिबिया नहीं मंतरों की छड़ी है
सुनो इस में जादू की पुड़िया पड़ी है
इसे जब घुमाव तो दुनिया घुमाए
ये घर बैठे बैठे सियाहत कराए
इसे खटखटाओ तो घुँघट उठाए
हमें चाँद सी अपनी सूरत दिखाए
इसे जब दबाओ तो ये गुनगुनाए
अनोखे निराले धुनों को सुनाए
बिना कुछ दबाए भी ये बोलती है
बिना कुछ हिलाए भी तो डोलती है
ज़रूरत हो जिस की इसे ये बुला दे
बुला कर उसे हम से बातें करा दे
हमें अपने बिछड़ों से हम को मिला दे
हमारे दिलों में मोहब्बत जगा दे
ये चाहे तो जिस से भी जिस को मिला दे
किसी को किसी से भी चाहे भिड़ा दे
कभी अजनबी को भी साथी बना दे
कभी दोस्त को भी ये दुश्मन बना दे
कभी जो शरारत ये करने पे आए
तो चाहे जिसे रात दिन ये सताए
तिलिस्मी फ़ज़ाएँ भी इस में छुपी हैं
हज़ारों बलाएँ भी इस में दबी हैं
कभी तो ये दुनिया का नक़्शा उभारे
कभी आसमाँ को ज़मीं पर उतारे
कहाँ क्या हुआ सारा क़िस्सा सुनाए
यहाँ का वहाँ का तमाशा दिखाए
ये मशरिक़ को मग़रिब से पल में मिलाए
बस इक आन में दूरियों को मिटाए
ये फोटो भी तो बैठे बैठे उतारे
हमारे भी चेहरे का नक़्शा उभारे
ये देखो तुम्हारा भी फोटो खिंचा है
तुम्हारे भी चेहरों का नक़्शा बना है
नहीं वक़्त का सिर्फ़ चक्कर चलाए
ये डिबिया तो तारीख़ दिन भी बताए
अलार्म भी तो रात में ये बजाए
हमें वक़्त पर ग़फ़लतों से जगाए
मिरे दिल में क्या है इसे ये ख़बर है
मिरे दिल के अंदर भी इस की नज़र है
इलह-दीन का ये दिया तो नहीं है
कि इस में भी तो कोई जिन सा बसा है
कि जब भी बुलाओ तो देखो खड़ा है
जो शय चाहिए इस से हाज़िर किया है
छड़ी की झड़ी देख बच्चे ये बोले
बहुत देर के बाद मुँह अपना खोले
ये डिबिया तो सच-मुच बड़े काम की है
हमें भी बताओ कहाँ से मिली है
बताओ कि इस का कोई नाम भी है
फ़्री में मिली है या कुछ दाम भी है

- Ghazanfar
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari