kuchh karne ki mohlat kam hai | कुछ करने की मोहलत कम है

  - Hafeez Momin

kuchh karne ki mohlat kam hai
ab umron mein barkat kam hai

akshar baahar hi rehta hoon
kya mera ghar jannat kam hai

chid jaata hoon lad jaata hoon
sach sahne ki aadat kam hai

un se aage kaise jaaun
jin se meri qismat kam hai

raai raai dene waale
mujh ko parbat parbat kam hai

saada saada baatein kijeye
ab zehnon ko furqat kam hai

mumin ke ashaar sunaao
afsaano mein lazzat kam hai

कुछ करने की मोहलत कम है
अब उम्रों में बरकत कम है

अक्सर बाहर ही रहता हूँ
क्या मेरा घर जन्नत कम है

चिड़ जाता हूँ लड़ जाता हूँ
सच सहने की आदत कम है

उन से आगे कैसे जाऊँ
जिन से मेरी क़िस्मत कम है

राई राई देने वाले
मुझ को पर्बत पर्बत कम है

सादा सादा बातें कीजे
अब ज़ेहनों को फ़ुर्सत कम है

'मोमिन' के अशआ'र सुनाओ
अफ़्सानों में लज़्ज़त कम है

  - Hafeez Momin

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Momin

As you were reading Shayari by Hafeez Momin

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Momin

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari