aaj main aaine ke muqaabil khada hoon | आज मैं आईने के मुक़ाबिल खड़ा हूँ

  - Hafiz Ahmad

aaj main aaine ke muqaabil khada hoon
masarrat ki khwaahish
mere vaaste maut ka zaa'ika ban chuki hai
sulagti hui khwahishon se hiraasaan badan
justuju se gurezaan hai
khush-bakhtoń ke liye kaamyaabi ka koi bahaana nahin
jaanta hoon
ki mera safar
ek dahshat-zada aarzoo ka safar hai
meri raahguzaar
karb ki raahguzaar hai

आज मैं आईने के मुक़ाबिल खड़ा हूँ
मसर्रत की ख़्वाहिश
मिरे वास्ते मौत का ज़ाइक़ा बन चुकी है
सुलगती हुई ख़्वाहिशों से हिरासाँ बदन
जुस्तुजू से गुरेज़ाँ है
ख़ुश-बख़्तों के लिए कामयाबी का कोई बहाना नहीं
जानता हूँ
कि मेरा सफ़र
एक दहशत-ज़दा आरज़ू का सफ़र है
मेरी रहगुज़र
कर्ब की रहगुज़र है

  - Hafiz Ahmad

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Hafiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari