patthar mein fan ke phool khila kar chala gaya
kaise amit nuqoosh koi chhodta gaya
simtaa tira khayal to gul-rang ashk tha
faila to misl-e-dasht-e-wafa phailta gaya
sochon ki goonj thi ki qayamat ki goonj thi
tera sukoot hashr ke manzar dikha gaya
ya teri aarzoo mujhe le aayi is taraf
ya mera shauq raah mein sehra bichha gaya
vo jis ko bhoolne ka tasavvur muhaal tha
vo ahad rafta rafta mujhe bhoolta gaya
jab us ko paas-e-khaatir-e-aazurdagaan nahin
mud mud ke kyun vo door talak dekhta gaya
पत्थर में फ़न के फूल खिला कर चला गया
कैसे अमिट नुक़ूश कोई छोड़ता गया
सिमटा तिरा ख़याल तो गुल-रंग अश्क था
फैला तो मिस्ल-ए-दश्त-ए-वफ़ा फैलता गया
सोचों की गूँज थी कि क़यामत की गूँज थी
तेरा सुकूत हश्र के मंज़र दिखा गया
या तेरी आरज़ू मुझे ले आई इस तरफ़
या मेरा शौक़ राह में सहरा बिछा गया
वो जिस को भूलने का तसव्वुर मुहाल था
वो अहद रफ़्ता रफ़्ता मुझे भूलता गया
जब उस को पास-ए-ख़ातिर-ए-आज़ुर्दगाँ नहीं
मुड़ मुड़ के क्यूँ वो दूर तलक देखता गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafiz Taib
our suggestion based on Hafiz Taib
As you were reading Khushboo Shayari Shayari