lafz se jab na utha baar-e-khayaal | लफ़्ज़ से जब न उठा बार-ए-ख़याल

  - Hafiz Taib

lafz se jab na utha baar-e-khayaal
kaise kaise kiya izhaar-e-khayaal

dil mein jab dard ki qindeel jali
tamtamaane lage rukhsaar-e-khayaal

rooh ke zakham na murjhaayein kabhi
ta-abad mahke chamanzaar-e-khayaal

gham pe mauqoof hai taaseer-e-bayaan
gham se hai raunaq-e-baazaar-e-khayaal

raakib-e-fahm hai be-bas taib
aur munh-zor hai rahwaar-e-khayaal

लफ़्ज़ से जब न उठा बार-ए-ख़याल
कैसे कैसे किया इज़हार-ए-ख़याल

दिल में जब दर्द की क़िंदील जली
तमतमाने लगे रुख़्सार-ए-ख़याल

रूह के ज़ख़्म न मुरझाएँ कभी
ता-अबद महके चमनज़ार-ए-ख़याल

ग़म पे मौक़ूफ़ है तासीर-ए-बयाँ
ग़म से है रौनक़-ए-बाज़ार-ए-ख़याल

राकिब-ए-फ़हम है बे-बस 'ताइब'
और मुँह-ज़ोर है रहवार-ए-ख़याल

  - Hafiz Taib

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafiz Taib

As you were reading Shayari by Hafiz Taib

Similar Writers

our suggestion based on Hafiz Taib

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari