ik naya karb mere dil mein janam leta hai
qaafila dard ka kuchh der jo dam leta hai
rang paata hai mere khoon-e-jigar se gul-e-she'r
sabza-e-fikr meri aankh se nam leta hai
aabroo haqq-o-sadaqat ki badha deta hai
jab bhi suqraat koi saaghar-e-sam leta hai
raat ke saaye mein shabnam ke guhar dhalti hain
raat ki kokh se khurshid janam leta hai
zehan be-naam dhundlakon mein bhatk jaata hai
aaj fankaar jo haathon mein qalam leta hai
jis ko ho daulat-e-ehsaas mayassar taib
chain vo kaar-gah-e-zeest mein kam leta hai
इक नया कर्ब मिरे दिल में जनम लेता है
क़ाफ़िला दर्द का कुछ देर जो दम लेता है
रंग पाता है मिरे ख़ून-ए-जिगर से गुल-ए-शे'र
सब्ज़ा-ए-फ़िक्र मिरी आँख से नम लेता है
आबरू हक़्क़-ओ-सदाक़त की बढ़ा देता है
जब भी सुक़रात कोई साग़र-ए-सम लेता है
रात के साए में शबनम के गुहर ढलते हैं
रात की कोख से ख़ुर्शीद जनम लेता है
ज़ेहन बे-नाम धुँदलकों में भटक जाता है
आज फ़नकार जो हाथों में क़लम लेता है
जिस को हो दौलत-ए-एहसास मयस्सर 'ताइब'
चैन वो कार-गह-ए-ज़ीस्त में कम लेता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafiz Taib
our suggestion based on Hafiz Taib
As you were reading Aah Shayari Shayari