vo jo teri talab mein eeza thi
mere har dard ka mudaava thi
main tamasha tha ik jahaan ke liye
us pe bhi hasrat-e-tamaasha thi
laakh raahen theen vahshaton ke liye
kis liye band raah-e-sehra thi
meri ruswaai thi meri tauqeer
meri tanhaai thi meri saathi
taj ke duniya ko jab chale taib
saath ik aarzoo ki duniya thi
वो जो तेरी तलब में ईज़ा थी
मेरे हर दर्द का मुदावा थी
मैं तमाशा था इक जहाँ के लिए
उस पे भी हसरत-ए-तमाशा थी
लाख राहें थीं वहशतों के लिए
किस लिए बंद राह-ए-सहरा थी
मेरी रुस्वाई थी मिरी तौक़ीर
मेरी तन्हाई थी मेरी साथी
तज के दुनिया को जब चले 'ताइब'
साथ इक आरज़ू की दुनिया थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafiz Taib
our suggestion based on Hafiz Taib
As you were reading Dua Shayari Shayari