sharar-afshaan vo sharar-khoo bhi nahin
koi taara koi jugnoo bhi nahin
jaane tay manzil-e-shab ho kaise
door tak noor ki khushboo bhi nahin
ham sa be-maaya koi kya hoga
apni aankhon mein to aansu bhi nahin
jis biyaabaan mein junoon laaya hai
us mein to yaad ke aahu bhi nahin
jaane is zid ka nateeja kya ho
maanta dil bhi nahin tu bhi nahin
शरर-अफ़शाँ वो शरर-ख़ू भी नहीं
कोई तारा कोई जुगनू भी नहीं
जाने तय मंज़िल-ए-शब हो कैसे
दूर तक नूर की ख़ुश्बू भी नहीं
हम सा बे-माया कोई क्या होगा
अपनी आँखों में तो आँसू भी नहीं
जिस बयाबाँ में जुनूँ लाया है
उस में तो याद के आहू भी नहीं
जाने इस ज़िद का नतीजा क्या हो
मानता दिल भी नहीं तू भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafiz Taib
our suggestion based on Hafiz Taib
As you were reading Husn Shayari Shayari