ik dard sa pahluu mein machalta hai sar-e-shaam
jab chaand jharoke mein nikalta hai sar-e-shaam
be-naam si ik aag dahak uthati hai dil mein
mahtaab jo thandak si ugalta hai sar-e-shaam
kuchh der shafaq phoolti hai jaise ufuq par
aise hi mera haal sambhalta hai sar-e-shaam
ye dil hai mera ya kisi kutiya ka diya hai
bujhta hai dam-e-subh to jalta hai sar-e-shaam
banta hai vo ik chehra kabhi gul kabhi shola
saanche mein khayaalon ke jo dhalt hai sar-e-shaam
chhat jaati hai aalam-e-zamaana ki siyaahi
jab daur tiri yaad ka chalta hai sar-e-shaam
main door bahut door pahunch jaata hoon taib
rukh soch ka dhaara jo badalta hai sar-e-shaam
इक दर्द सा पहलू में मचलता है सर-ए-शाम
जब चाँद झरोके में निकलता है सर-ए-शाम
बे-नाम सी इक आग दहक उठती है दिल में
महताब जो ठंडक सी उगलता है सर-ए-शाम
कुछ देर शफ़क़ फूलती है जैसे उफ़ुक़ पर
ऐसे ही मिरा हाल सँभलता है सर-ए-शाम
ये दिल है मिरा या किसी कुटिया का दिया है
बुझता है दम-ए-सुब्ह तो जलता है सर-ए-शाम
बनता है वो इक चेहरा कभी गुल कभी शोला
साँचे में ख़यालों के जो ढलता है सर-ए-शाम
छट जाती है आलाम-ए-ज़माना की सियाही
जब दौर तिरी याद का चलता है सर-ए-शाम
मैं दूर बहुत दूर पहुँच जाता हूँ 'ताइब'
रुख़ सोच का धारा जो बदलता है सर-ए-शाम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafiz Taib
our suggestion based on Hafiz Taib
As you were reading Dard Shayari Shayari