ahvaal mera poochne aate bhi nahin hain | अहवाल मिरा पूछने आते भी नहीं हैं

  - Haidar Jafri

ahvaal mera poochne aate bhi nahin hain
kis haal mein khud hain ye bataate bhi nahin hain

vaise to basaate hi nahin dil mein kisi ko
par jis ko basaaya hai bhulaate bhi nahin hain

ham milte nahin un se ye un ko hai shikaayat
aur khud vo mohabbat se bulaate bhi nahin hain

chahe na bulaana to na bulwaaye vo lekin
yun khud se magar door bhagaate bhi nahin hain

dil se main kiya karta hoon un logon ki izzat
jo nekiyaan karte hain jataate bhi nahin hai

un ko bhi sada mujh se mohabbat ka hai daava
honton pe mera naam jo laate bhi nahin hain

jin taur tareeqon ko wafa kahte hain ab log
vo taur tariqe hamein aate bhi nahin hain

bas dard ke tanhaai ke ashkon se siva ab
aashiq yahan kuchh aur to paate bhi nahin hain

jis tarah ke ahbaab khuda ne diye haider
aise mere rishte mere naate bhi nahin hain

अहवाल मिरा पूछने आते भी नहीं हैं
किस हाल में ख़ुद हैं ये बताते भी नहीं हैं

वैसे तो बसाते ही नहीं दिल में किसी को
पर जिस को बसाया है भुलाते भी नहीं हैं

हम मिलते नहीं उन से ये उन को है शिकायत
और ख़ुद वो मोहब्बत से बुलाते भी नहीं हैं

चाहे न बुलाना तो न बुलवाए वो लेकिन
यूँ ख़ुद से मगर दूर भगाते भी नहीं हैं

दिल से मैं किया करता हूँ उन लोगों की इज़्ज़त
जो नेकियाँ करते हैं जताते भी नहीं है

उन को भी सदा मुझ से मोहब्बत का है दावा
होंटों पे मिरा नाम जो लाते भी नहीं हैं

जिन तौर तरीक़ों को वफ़ा कहते हैं अब लोग
वो तौर तरीक़े हमें आते भी नहीं हैं

बस दर्द के तन्हाई के अश्कों से सिवा अब
आशिक़ यहाँ कुछ और तो पाते भी नहीं हैं

जिस तरह के अहबाब ख़ुदा ने दिए 'हैदर'
ऐसे मिरे रिश्ते मिरे नाते भी नहीं हैं

  - Haidar Jafri

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Jafri

As you were reading Shayari by Haidar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Jafri

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari