jab raston se ishq-e-kaamil hota hai | जब रस्तों से इश्क़-ए-कामिल होता है

  - Haidar Jafri

jab raston se ishq-e-kaamil hota hai
tab banda nazdeek-e-manzil hota hai

hamdardi hai dil mein to phir raah dikha
bas tanqeedon se kya haasil hota hai

haq ki baatein us ki samajh mein aati hain
jis bande ke seene mein dil hota hai

rishton se samjhauta karna padta hai
warna kaun kisi ke qaabil hota hai

hairat hai vo jis ko ham se rabt nahin
dil bhi us ki jaanib maail hota hai

aaj kahaan insaaf ka mandir milta hai
aaj kahaan qaazi hi aadil hota hai

khud se to namrood nahin banta koi
asal mein poora shehar hi baabul hota hai

ham ko to hansne ki aadat hai warna
muskaanon mein dard bhi shaamil hota hai

haider dil mein basne waala hi akshar
dil ke armaanon ka qaateel hota hai

जब रस्तों से इश्क़-ए-कामिल होता है
तब बंदा नज़दीक-ए-मंज़िल होता है

हमदर्दी है दिल में तो फिर राह दिखा
बस तन्क़ीदों से क्या हासिल होता है

हक़ की बातें उस की समझ में आती हैं
जिस बंदे के सीने में दिल होता है

रिश्तों से समझौता करना पड़ता है
वर्ना कौन किसी के क़ाबिल होता है

हैरत है वो जिस को हम से रब्त नहीं
दिल भी उस की जानिब माइल होता है

आज कहाँ इंसाफ़ का मंदिर मिलता है
आज कहाँ क़ाज़ी ही आदिल होता है

ख़ुद से तो नमरूद नहीं बनता कोई
असल में पूरा शहर ही बाबुल होता है

हम को तो हँसने की आदत है वर्ना
मुस्कानों में दर्द भी शामिल होता है

'हैदर' दिल में बसने वाला ही अक्सर
दिल के अरमानों का क़ातिल होता है

  - Haidar Jafri

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Jafri

As you were reading Shayari by Haidar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Jafri

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari