kis ne ye socha tha haider aisa bhi ho saka hai | किस ने ये सोचा था 'हैदर' ऐसा भी हो सकता है

  - Haidar Jafri

kis ne ye socha tha haider aisa bhi ho saka hai
jis ko pyaar samajh baithe vo dhoka bhi ho saka hai

ghairoon ke haathon mein khanjar dhundh rahe ho aakhir kyun
jis ne kiya barbaad hamein vo apna bhi ho saka hai

saansen lena bas ho alaamat jeene ki laazim to nahin
dil ke andar jhaank ke dekho murda bhi ho saka hai

saare jahaan mein baat mohabbat ki jo karta firta hai
us ke ghar nafrat ka andhera faila bhi ho saka hai

teri mehfil tere bande ho jitna bhi shor magar
ham mehfil mein aayein to sannaata bhi ho saka hai

phir se kisi ko dil mein basaaun phir se kisi ke dard sahoon
ye dil ka aangan hai soona soona bhi ho saka hai

aag lagaane se pehle ai kaash vo itna soch bhi le
ye jo jala hai ye mera sarmaaya bhi ho saka hai

haider saara haal main apna kaise ghazal mein likh daaloon
fikr mujhe bas ye hai koi rusva bhi ho saka hai

किस ने ये सोचा था 'हैदर' ऐसा भी हो सकता है
जिस को प्यार समझ बैठे वो धोका भी हो सकता है

ग़ैरों के हाथों में ख़ंजर ढूँड रहे हो आख़िर क्यों
जिस ने किया बर्बाद हमें वो अपना भी हो सकता है

साँसें लेना बस हो अलामत जीने की लाज़िम तो नहीं
दिल के अंदर झाँक के देखो मुर्दा भी हो सकता है

सारे जहाँ में बात मोहब्बत की जो करता फिरता है
उस के घर नफ़रत का अंधेरा फैला भी हो सकता है

तेरी महफ़िल तेरे बंदे हो जितना भी शोर मगर
हम महफ़िल में आएँ तो सन्नाटा भी हो सकता है

फिर से किसी को दिल में बसाऊँ फिर से किसी के दर्द सहूँ
ये दिल का आँगन है सूना सूना भी हो सकता है

आग लगाने से पहले ऐ काश वो इतना सोच भी ले
ये जो जला है ये मेरा सरमाया भी हो सकता है

'हैदर' सारा हाल मैं अपना कैसे ग़ज़ल में लिख डालूँ
फ़िक्र मुझे बस ये है कोई रुस्वा भी हो सकता है

  - Haidar Jafri

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Jafri

As you were reading Shayari by Haidar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Jafri

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari