ye zindagi ke tajrabaat qeemti hain bahut | ये ज़िंदगी के तजरबात क़ीमती हैं बहुत

  - Haidar Jafri

ye zindagi ke tajrabaat qeemti hain bahut
tumhaare paak khayaalaat qeemti hain bahut

likhe the ham ne jo ashkon ki roshnai se
vo ishq ke bhi maqaalaat qeemti hain bahut

inhi se hoti hai meraaj ishq ko haasil
ye dard aur ye jazbaat qeemti hain bahut

nisaab-e-ishq mein pooche gaye hain jo akshar
jawaab chhodo savaalaat qeemti hain bahut

hamaare jeene ki dhaaras yahi bandhaati hain
tumhaari yaadon ki baaraat qeemti hain bahut

vo jis ke khwaab mein deedaar un ka ho jaaye
qasam khuda ki wahi raat qeemti hai bahut

vo bol de to sabhi kuchh luta ke ham rakh den
ye sach hai in ki har ik baat qeemti hai bahut

hamaare ashk yahan haisiyat nahin rakhte
tumhaare ashkon ki sougaat qeemti hai bahut

vo lamhe jin mein hamein yaad aap aa jaaye
wahi hayaat ke lamhaat qeemti hain bahut

ye jab bhi aate hain ashkon ko saath laate hain
ye ashk aur ye barsaat qeemti hain bahut

har ik safhe pe tera naam likh diya haider
isee liye mere safhaat qeemti hain bahut

ये ज़िंदगी के तजरबात क़ीमती हैं बहुत
तुम्हारे पाक ख़यालात क़ीमती हैं बहुत

लिखे थे हम ने जो अश्कों की रौशनाई से
वो इश्क़ के भी मक़ालात क़ीमती हैं बहुत

इन्ही से होती है मेराज इश्क़ को हासिल
ये दर्द और ये जज़्बात क़ीमती हैं बहुत

निसाब-ए-इश्क़ में पूछे गए हैं जो अक्सर
जवाब छोड़ो सवालात क़ीमती हैं बहुत

हमारे जीने की ढारस यही बँधाती हैं
तुम्हारी यादों की बारात क़ीमती हैं बहुत

वो जिस के ख़्वाब में दीदार उन का हो जाए
क़सम ख़ुदा की वही रात क़ीमती है बहुत

वो बोल दे तो सभी कुछ लुटा के हम रख दें
ये सच है इन की हर इक बात क़ीमती है बहुत

हमारे अश्क यहाँ हैसियत नहीं रखते
तुम्हारे अश्कों की सौग़ात क़ीमती है बहुत

वो लम्हे जिन में हमें याद आप आ जाए
वही हयात के लम्हात क़ीमती हैं बहुत

ये जब भी आते हैं अश्कों को साथ लाते हैं
ये अश्क और ये बरसात क़ीमती हैं बहुत

हर इक सफ़्हे पे तेरा नाम लिख दिया 'हैदर'
इसी लिए मिरे सफ़्हात क़ीमती हैं बहुत

  - Haidar Jafri

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Jafri

As you were reading Shayari by Haidar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Jafri

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari