baha ke baithe hain ashkon ka ik samundar ham
phir aa gaye hain tire gaav se guzar kar ham
kisi ki aarzoo ham the jo na hui poori
kisi ko ho gaye bin kuchh kiye mayassar ham
tumhaare dil mein hi rahte the ham to muddat se
kise bataayein ki ab ho gaye hain be-ghar ham
isee liye to girftaar hain masaail mein
samajhne khud ko lage doosron se behtar ham
fuzool aap bhi koshish na kijie sahab
na aa sakenge kabhi qaid-e-gham se baahar ham
na kuchh vo mere bina hai na kuchh main un ke bina
agar vo mere sanam hain to un ke aazar ham
ye aur baat ki arsa hua bichhad ke magar
na ab talak bhi unhen bhool paaye haider ham
बहा के बैठे हैं अश्कों का इक समुंदर हम
फिर आ गए हैं तिरे गाँव से गुज़र कर हम
किसी की आरज़ू हम थे जो न हुई पूरी
किसी को हो गए बिन कुछ किए मयस्सर हम
तुम्हारे दिल में ही रहते थे हम तो मुद्दत से
किसे बताएँ कि अब हो गए हैं बे-घर हम
इसी लिए तो गिरफ़्तार हैं मसाइल में
समझने ख़ुद को लगे दूसरों से बेहतर हम
फ़ुज़ूल आप भी कोशिश न कीजिए साहब
न आ सकेंगे कभी क़ैद-ए-ग़म से बाहर हम
न कुछ वो मेरे बिना है न कुछ मैं उन के बिना
अगर वो मेरे सनम हैं तो उन के आज़र हम
ये और बात कि अर्सा हुआ बिछड़ के मगर
न अब तलक भी उन्हें भूल पाए 'हैदर' हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Jafri
our suggestion based on Haidar Jafri
As you were reading Mehnat Shayari Shayari