dil tadpata hai mera har din sehar hone ke ba'ad
maut aa jaaye na tere bin sehar hone ke ba'ad
shaam tak furqat na tujh ko saans lene ki mile
aa ke takleefein meri tu gin sehar hone ke ba'ad
raat aayi aaye maykhaane mein kaafir ho gaye
aur phir se ban gaye mumin sehar hone ke ba'ad
neend to kya cheez aankhen band bhi ham ne na ki
jab vo bole aayenge lekin sehar hone ke ba'ad
chain dil ko aankh ko thandak khird ko taazgi
ne'ematein milna hai ye mumkin sehar hone ke ba'ad
un ke dil mein meri ulfat yun samaai jis tarah
phool mein khushboo hui saakin sehar hone ke ba'ad
raat bhar ashkon ko roke muskuraya tha magar
ho gaya zaahir mera baatin sehar hone ke ba'ad
khauf aata hai mujhe haider zamaane se bahut
aa ke ban ja tu mera zaamin sehar hone ke ba'ad
दिल तड़पता है मिरा हर दिन सहर होने के बा'द
मौत आ जाए न तेरे बिन सहर होने के बा'द
शाम तक फ़ुर्सत न तुझ को साँस लेने की मिले
आ के तकलीफ़ें मिरी तू गिन सहर होने के बा'द
रात आई आए मयख़ाने में काफ़िर हो गए
और फिर से बन गए मोमिन सहर होने के बा'द
नींद तो क्या चीज़ आँखें बंद भी हम ने न की
जब वो बोले आएँगे लेकिन सहर होने के बा'द
चैन दिल को आँख को ठंडक ख़िरद को ताज़गी
ने'मतें मिलना है ये मुमकिन सहर होने के बा'द
उन के दिल में मेरी उल्फ़त यूँ समाई जिस तरह
फूल में ख़ुशबू हुई साकिन सहर होने के बा'द
रात भर अश्कों को रोके मुस्कुराया था मगर
हो गया ज़ाहिर मिरा बातिन सहर होने के बा'द
ख़ौफ़ आता है मुझे 'हैदर' ज़माने से बहुत
आ के बन जा तू मिरा ज़ामिन सहर होने के बा'द
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Jafri
our suggestion based on Haidar Jafri
As you were reading Andhera Shayari Shayari