badnaseebo ke bhi hisse mein kabhi hai aaya ishq | बदनसीबों के भी हिस्से में कभी है आया इश्क़

  - Hrishita Singh

badnaseebo ke bhi hisse mein kabhi hai aaya ishq
door se lagta raha dariya magar tha sehra ishq

is zamaane kii muhabbat mein hi uljha hai ye dil
is zamaane kii tarah hi ho gaya hai kab ka ishq

isko paane kii bhi uzrat ab chukaai duniya ne
is badan kii qaid se hi to rihaa hai karta ishq

ham to sajde mein bhi bas uske hi ab to rahte hain
ab ye bhi kaisi qayamat hai ya maula tauba ishq

ab kahaan koii deewana hota uske ishq mein
ab to yun hi rah gaya hai jaise koii qissa ishq

kaam to ye sab farebon waala hai jaan meri aur
tum to achhe khase ho phir tum nahin ye karna ishq

बदनसीबों के भी हिस्से में कभी है आया इश्क़
दूर से लगता रहा दरिया मगर था सहरा इश्क़

इस ज़माने की मुहब्बत में ही उलझा है ये दिल
इस ज़माने की तरह ही हो गया है कब का इश्क़

इसको पाने की भी उज़रत अब चुकाई दुनिया ने
इस बदन की क़ैद से ही तो रिहा है करता इश्क़

हम तो सजदे में भी बस उसके ही अब तो रहते हैं
अब ये भी कैसी क़यामत है या मौला तौबा इश्क़

अब कहाँ कोई दिवाना होता उसके  इश्क़ में
अब  तो यूँ ही रह गया है जैसे कोई क़िस्सा इश्क़

काम तो ये सब फ़रेबों वाला है जाँ मेरी और
तुम तो अच्छे ख़ासे हो फिर तुम नहीं ये करना इश्क़

  - Hrishita Singh

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hrishita Singh

As you were reading Shayari by Hrishita Singh

Similar Writers

our suggestion based on Hrishita Singh

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari