kitne samundar
kitne sehra
jungle aur baarishen
be-shumaar aainon ka khaali-pan
lamhe ya sadiyaan
uboor kar ke
daakhil hui
meri tanhaai
teri tanhaai mein
ai shehr-e-gul-e-surkh
ai azeem khoobsurat patthar
mujhe khazaane se
koi sarokaar nahin
jahaan khoonte se bandha
laal ghoda
teees sau baras
ki be-khwabi mein
eistaada hai
mujhe faqat teri udaas raat ka
ek kona darkaar hai
ki meri khaamoshi
teri khaamoshi se kalaam kare
mere paas afsos ki kahaani hai
jise sun kar qadeem chaand
ret ke aansu bahaayega
ki tere maatami gulaab sairaab hon
udte zamaanon ki dhajjiyaan
gum-shuda umron ki raigaani
taarikh ki munaafiq almaariyon mein
latkate ustukhwaan
mujhe amanatdaar paayenge
barbaad deewaron ki kharaashon se
jhaankta inhimaak nahin tootega
ai gulaab shehar
main be-zabaan qissa-go
ek shab-basri ka sawaali hoon
tere sangeen darwaaze par
main tujhe tere jaisa
apna dil hadiya karunga
patthar ka gulaab
tujhe khaamosh daastaan sunaaunga
kisi bahut qadeem zamaane ki
gunaahgaar khudaaon se door
khaalis ibadat guzaar andhere mein
subh-e-abad ke aakhiri qahqahe se be-niyaaz
कितने समुंदर
कितने सहरा
जंगल और बारिशें
बे-शुमार आईनों का ख़ाली-पन
लम्हे या सदियाँ
उबूर कर के
दाख़िल हुई
मेरी तन्हाई
तेरी तन्हाई में
ऐ शहर-ए-गुल-ए-सुर्ख़
ऐ अज़ीम ख़ूबसूरत पत्थर
मुझे ख़ज़ाने से
कोई सरोकार नहीं
जहाँ खूंटे से बँधा
लाल घोड़ा
तेईस सौ बरस
की बे-ख़्वाबी में
ईस्तादा है
मुझे फ़क़त तेरी उदास रात का
एक कोना दरकार है
कि मेरी ख़ामोशी
तेरी ख़ामोशी से कलाम करे
मेरे पास अफ़्सोस की कहानी है
जिसे सुन कर क़दीम चाँद
रेत के आँसू बहाएगा
कि तेरे मातमी गुलाब सैराब हों
उड़ते ज़मानों की धज्जियाँ
गुम-शुदा उम्रों की राइगानी
तारीख़ की मुनाफ़िक़ अलमारियों में
लटकते उस्तुख़्वाँ
मुझे अमानतदार पाएँगे
बर्बाद दीवारों की ख़राशों से
झाँकता इंहिमाक नहीं टूटेगा
ऐ गुलाब शहर
मैं बे-ज़बान क़िस्सा-गो
एक शब-बसरी का सवाली हूँ
तेरे संगीन दरवाज़े पर
मैं तुझे तेरे जैसा
अपना दिल हदिया करूँगा
पत्थर का गुलाब
तुझे ख़ामोश दास्तान सुनाऊँगा
किसी बहुत क़दीम ज़माने की
गुनाहगार ख़ुदाओं से दूर
ख़ालिस इबादत गुज़ार अँधेरे में
सुब्ह-ए-अबद के आख़िरी क़हक़हे से बे-नियाज़
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Iftikhar Bukhari
As you were reading Nature Shayari Shayari