din ladkhadaata hai | दिन लड़खड़ाता है

  - Iftikhar Bukhari

din ladkhadaata hai
duniya apne sukoot mein dagmagati hai
har shay qaabil-e-deed
magar gurezaan hai
sab kuchh nazdeek hai
magar naa-mumkin
kitaab aaina kapde
pinjra aur parinda
apne naamon ke saaye mein
be-harkat
waqt dhadakta hai
mere seene mein
lahu ki na badlne waali
aazurda taal par
dhoop-chaanv se be-niyaaz deewaar
mabni-bar-wahm tasveeron ke timsaal ghar
mein badal jaati hai
main khud ko apni zaat par pahra deti
aankh ke markaz mein chhupata hoon
main simtata hoon
main bikharta hoon
main faqat ek waqfa hoon
rukne aur chalne ke darmiyaan
jeene aur marne ke darmiyaan
main ek aahat hoon
na-qaabil-e-shuneed
maheen pal ke liye
raat b-zaahir be-kinaar hai
phir bhi main sar ko uthaata hoon
aasmaan par sitaaron ki makhfi tahreer
achaanak mujh par muskuraati hai
aur anjaane mein
main jaan jaata hoon
ki mujhe likha gaya
mitne ke liye

दिन लड़खड़ाता है
दुनिया अपने सुकूत में डगमगाती है
हर शय क़ाबिल-ए-दीद
मगर गुरेज़ाँ है
सब कुछ नज़दीक है
मगर ना-मुम्किन
किताब आईना कपड़े
पिंजरा और परिंदा
अपने नामों के साए में
बे-हरकत
वक़्त धड़कता है
मेरे सीने में
लहू की न बदलने वाली
आज़ुर्दा ताल पर
धूप-छाँव से बे-नियाज़ दीवार
मब्नी-बर-वहम तस्वीरों के तिमसाल घर
में बदल जाती है
मैं ख़ुद को अपनी ज़ात पर पहरा देती
आँख के मरकज़ में छुपाता हूँ
मैं सिमटता हूँ
मैं बिखरता हूँ
मैं फ़क़त एक वक़्फ़ा हूँ
रुकने और चलने के दरमियान
जीने और मरने के दरमियान
मैं एक आहट हूँ
ना-क़ाबिल-ए-शुनीद
महीन पल के लिए
रात ब-ज़ाहिर बे-कनार है
फिर भी मैं सर को उठाता हूँ
आसमान पर सितारों की मख़्फ़ी तहरीर
अचानक मुझ पर मुस्कुराती है
और अनजाने में
मैं जान जाता हूँ
कि मुझे लिखा गया
मिटने के लिए

  - Iftikhar Bukhari

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Bukhari

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari