mere paas teen cheezen hain
ret mujhe viraasat mein mili
patthar main ne mehnat se kamaaya
aur ye thodi si dhoop mujhe sadak par
padi hui mili
main ne ret se apni umr banaai
main ne patthar apne pet par baandha
main ne dhoop se apna saaya banaya
main apne saaye mein chalta hoon
main apni dhoop mein jalta hoon
main kisi ped ka ehsaan nahin loonga
chalte chalte ik din apne saaye par gir jaaunga
tum mujhe meri ret mein dafn karna
mera patthar mere pet se khol kar meri qabr ka
kitaba banaana
aur meri dhoop ko azaad kar dena
मेरे पास तीन चीज़ें हैं
रेत मुझे विरासत में मिली
पत्थर मैं ने मेहनत से कमाया
और ये थोड़ी सी धूप मुझे सड़क पर
पड़ी हुई मिली
मैं ने रेत से अपनी उम्र बनाई
मैं ने पत्थर अपने पेट पर बाँधा
मैं ने धूप से अपना साया बनाया
मैं अपने साए में चलता हूँ
मैं अपनी धूप में जलता हूँ
मैं किसी पेड़ का एहसान नहीं लूँगा
चलते चलते इक दिन अपने साए पर गिर जाऊँगा
तुम मुझे मेरी रेत में दफ़्न करना
मेरा पत्थर मेरे पेट से खोल कर मेरी क़ब्र का
कतबा बनाना
और मेरी धूप को आज़ाद कर देना
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Iftikhar Bukhari
As you were reading Kisaan Shayari Shayari