tere jaisa kamaal kar leta | तेरे जैसा कमाल कर लेता

  - J E Najm

tere jaisa kamaal kar leta
main bhi ranjish bahaal kar leta

rasm-e-ulfat ka paas hai warna
gair khud pe halaal kar leta

tu dhadakta agar na seene mein
saans dhadkan ko taal kar leta

ahl-e-duniya to ahl-e-duniya hain
tu to mera khayal kar leta

phool se dosti nibhaani thi
kam se kam aankh laal kar leta

तेरे जैसा कमाल कर लेता
मैं भी रंजिश बहाल कर लेता

रस्म-ए-उल्फ़त का पास है वर्ना
ग़ैर ख़ुद पे हलाल कर लेता

तू धड़कता अगर न सीने में
साँस धड़कन को टाल कर लेता

अह्ल-ए-दुनिया तो अह्ल-ए-दुनिया हैं
तू तो मेरा ख़याल कर लेता

फूल से दोस्ती निभानी थी
कम से कम आँख लाल कर लेता

  - J E Najm

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by J E Najm

As you were reading Shayari by J E Najm

Similar Writers

our suggestion based on J E Najm

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari